Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
ham ko misraa k tang siine mein
aah bharne kaa tajraba hai miyaan
ہم کو مصرع کے تنگ سینے میں
آہ بھرنے کا تجربہ ہے میاں
हम को मिसरा के तंग सीने में
आह भरने का तज्रबा है मियाँ

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
aansu nahin banaa so ham ne
ujlat mein qahqaha banaayaa
main tire daaein baaein rahtaa huun
ai mire saamne ki majburi
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai