Shayari
vo aaina hai to hairat kisi jamaal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkhaa jaae
abhi phir rahaa huun main aap-apni talaash mein
abhi mujh se meraa mizaaj hi nahin mil rahaa
ابھی پھر رہا ہوں میں آپ اپنی تلاش میں
ابھی مجھ سے میرا مزاج ہی نہیں مل رہا
अभी फिर रहा हूँ मैं आप-अपनी तलाश में
अभी मुझ से मेरा मिज़ाज ही नहीं मिल रहा

vo aaina hai to hairat kisi jamaal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkhaa jaae
ye viraani si yunhi to nahin rahti hai aankhon mein
mire dil hi se koi jaada-e-vahshat nikaltaa hai
tire khayaal ki lau hi safar mein kaam aai
mire charaag to lagtaa thaa roe ab roe
raat ro ro ke guzaari hai charaaghon ki tarah
tab kahin harf mein taasir nazar aai hai
khush-arzaani hui hai is qadar baazaar-e-hasti mein
giraan jis ko samajhtaa huun vo kam-qimat nikaltaa hai
abhi to mansab-e-hasti se main haTaa hi nahin
badal gae hain mire doston ke lahje bhi