Shayari
idhar se taqaazaa udhar se taghaaful
ajab khinchaa-taani mein paighaam-bar hai
Daal do saayaa apne aanchal kaa
naa-tavaan huun kafan bhi ho halkaa

idhar se taqaazaa udhar se taghaaful
ajab khinchaa-taani mein paighaam-bar hai
ehsaas baDhaa detaa hai har dard ki shiddat
mahsus karoge to kasak aur baDhegi
siine mein aabaad hamesha rahti hai
pahli mohabbat yaad hamesha rahti hai
jab tak bikaa na thaa to koi puchhtaa na thaa
tu ne kharid kar mujhe anmol kar diyaa
guzar to jaaegi tere baghair bhi lekin
bahut udaas bahut be-qaraar guzregi
gumaan kis par karein suufi idhar hai us taraf vaaiz
khudaa rakkhe mohalle mein sabhi allaah vaale hain