Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
bhaTakte marzi se apni kahin bhi kho jaate
ham apne bas ke hi kab the ki tere ho jaate
بھٹکتے مرضی سے اپنی کہیں بھی کھو جاتے
ہم اپنے بس کے ہی کب تھے کہ تیرے ہو جاتے
भटकते मर्ज़ी से अपनी कहीं भी खो जाते
हम अपने बस के ही कब थे कि तेरे हो जाते

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti