Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
taalaa lagaa ke baandh rakhaa thaa raqib ne
bakraa khaDaa hai chor magar khaal le gae
تالا لگا کے باندھ رکھا تھا رقیب نے
بکرا کھڑا ہے چور مگر کھال لے گئے
taalā lagā ke bāñdh rakhā thā raqīb ne
bakrā khaḌā hai chor magar khaal le ga.e

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai