Sher
"dost ahbab se lene na sahare jaana dil jo ghabra.e samundar ke kinare jaana"
"bura ho a.ine tira main kaun huun na khul saka mujhi ko pesh kar diya gaya miri misal men"
برا ہو آئینے ترا میں کون ہوں نہ کھل سکا مجھی کو پیش کر دیا گیا مری مثال میں
बुरा हो आईने तिरा मैं कौन हूँ न खुल सका मुझी को पेश कर दिया गया मिरी मिसाल में

"dost ahbab se lene na sahare jaana dil jo ghabra.e samundar ke kinare jaana"
"dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd shart kuchh to mire bikne ki munasib Thahre"
"khayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz' jab aankh se hi na Tapka to phir lahu kya hai"
"ghar vaale mujhe ghar par dekh ke khush hain aur vo kya janen main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai"
"khirad ki rah jo chala main to dil ne mujh se kaha aziz-e-man ''ba-salamat-ravi o baz-a.i''"
"tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz' hamara kya hai ki ham to kahin bhi rahte hain"