Sher
"azadiyon ke shauq o havas ne hamen 'adil' ik ajnabi zamin ka qaidi bana diya"
"jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah anjan vadiyon men utarna paDa mujhe"
جب اپنی سر زمین نے مجھ کو نہ دی پناہ انجان وادیوں میں اترنا پڑا مجھے
जब अपनी सर-ज़मीन ने मुझ को न दी पनाह अंजान वादियों में उतरना पड़ा मुझे

"azadiyon ke shauq o havas ne hamen 'adil' ik ajnabi zamin ka qaidi bana diya"
"ehsan-e-rab mohabbaten itni milin 'adil' is umr-e-mukhtasar men na lauTa sakenge ham"
"jis ka sakin hai miri zaat men ab tak zinda phuul us qabr pe ja kar main chaDha.un kaise"
"mira dil TuuT jaane par miyan hairat bhala kaisi agar rasta badal jaa.e sitare TuuT jaate hain"
"mujhe to lagta hai jaise ye ka.enat tamam hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin"
"tujh se juda hue to ye ho ja.enge juda baaqi kahan rahenge ye saa.e tire baghair"