Sher
"roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit ga.e ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai"
"paani men aks aur kisi asman ka hai ye naav kaun si hai ye dariya kahan ka hai"
پانی میں عکس اور کسی آسماں کا ہے یہ ناؤ کون سی ہے یہ دریا کہاں کا ہے
पानी में अक्स और किसी आसमाँ का है ये नाव कौन सी है ये दरिया कहाँ का है

"roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit ga.e ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai"
"ye tanha raat ye gahri faza.en use DhunDen ki us ko bhuul jaa.en"
"maut khamoshi hai chup rahne se chup lag ja.egi zindagi avaz hai baten karo baten karo"
"dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin umr bhar kaun javan kaun hasin rahta hai"
"guzre hazar badal palkon ke saa.e saa.e utre hazar suraj ik shah-nashin-e-dil par"
"mil hi ja.ega kabhi dil ko yaqin rahta hai vo isi shahr ki galiyon men kahin rahta hai"