Sher
"ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka sham.a bhi bujhti hai parvanon ke jal jaane ke ba.ad"
"lazzat-e-dard mili jurm-e-mohabbat men use vo saza paa.i hai dal ne ki khata jhuum uThi"
لذت درد ملی جرم محبت میں اسے وہ سزا پائی ہے دل نے کہ خطا جھوم اٹھی
लज़्ज़त-ए-दर्द मिली जुर्म-ए-मोहब्बत में उसे वो सज़ा पाई है दल ने कि ख़ता झूम उठी

"ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka sham.a bhi bujhti hai parvanon ke jal jaane ke ba.ad"
"fareb-khurda hai itna ki mere dil ko abhi tum aa chuke ho magar intizar baaqi hai"
"iqrar-e-mohabbat to baDi baat hai lekin inkar-e-mohabbat ki ada aur hi kuchh hai"
"mere kirdar men muzmar hai tumhara kirdar dekh kar kyuun miri tasvir khafa ho tum log"
"mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskin kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jaa.e"
"mujh ko manzur nahin ishq ko rusva karna hai jigar chaak magar lab pe hansi hai ai dost"