Sher
"sach ye hai ham hi mohabbat ka sabaq paDh na sake varna an-paDh to na the ham ko paDhane vaale"
"husn aisa ki zamane men nahin jis ki misal aur jamal aisa ki DhunDa kare har khvab-o-khayal"
حسن ایسا کہ زمانے میں نہیں جس کی مثال اور جمال ایسا کہ ڈھونڈا کرے ہر خواب و خیال
हुस्न ऐसा कि ज़माने में नहीं जिस की मिसाल और जमाल ऐसा कि ढूँडा करे हर ख़्वाब-ओ-ख़याल

"sach ye hai ham hi mohabbat ka sabaq paDh na sake varna an-paDh to na the ham ko paDhane vaale"
"shahr ki galiyon aur saDkon par phirte hain mayusi men kaash koi 'anvar' se puchhe aise be-ghar kitne hain"
"daman pe to har ek ke chhiTen hain khuun ki ab kis se puchhiye ki gunahgar kaun hai"
"hai taqaza-e-tahzib 'anvar' mat kaho vo ki jo munh men aa.e"
"bahut asan hai mushtarka dilon men tafriq baat to jab hai ki bichhDon ko milaya jaa.e"
"roz uTh jaati hai ghar men koi divar na.i is tarah tang hua jaata hai angan apna"