Sher
"sab ko kanTon pe shak hua tha magar zakhm ke as-pas phuul mile"
"mujh se bahar nikal rahe the sab main bhi hairan sa nikal aaya"
مجھ سے باہر نکل رہے تھے سب میں بھی حیران سا نکل آیا
मुझ से बाहर निकल रहे थे सब मैं भी हैरान सा निकल आया

"sab ko kanTon pe shak hua tha magar zakhm ke as-pas phuul mile"
"aansu bata rahe hain ki mujh men hai zindagi ya'ni main intizar men patthar nahin hua"
"javab hans ke diya us ne aur rone laga saval puchh ke sharmindagi baDhi meri"
"hansi un ke labon tak aa ga.i hai mukammal ho gaya rona hamara"
"'mir' 'ghalib' yahin to rahte the ham bhi dilli se dil laga len kya"
"dard chehra pahan ke aaya tha tera chehra tha so qubul kiya"