Sher
"ajab mahfil hai sab ik dusre par hans rahe hain ajab tanha.i hai khalvat ki khalvat ro rahi hai"
"ashk agar sab ne likhe main ne sitare likkhe ajizi sab ne likhi main ne ibadat likkha"
اشک اگر سب نے لکھے میں نے ستارے لکھے عاجزی سب نے لکھی میں نے عبادت لکھا
अश्क अगर सब ने लिखे मैं ने सितारे लिक्खे आजिज़ी सब ने लिखी मैं ने इबादत लिक्खा

"ajab mahfil hai sab ik dusre par hans rahe hain ajab tanha.i hai khalvat ki khalvat ro rahi hai"
"dariya paar utarne vaale ye bhi jaan nahin paa.e kise kinare par le Duuba paar utar jaane ka gham"
"saval karne ke hausle se javab dene ke faisle tak jo vaqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat men aa basa huun"
"koi asan rifaqat nahin likkhi main ne qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha"
"kisi sitare se kya shikayat ki raat sab kuchh bujha hua tha fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki na.i kahani"
"raushni DhunD ke laana koi mushkil to na tha lekin is dauD men har shakhs ko jalte dekha"