Sher
"na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne chalo jaane do betabi men aisa ho hi jaata hai"
"va.ada kyuun baar baar karte ho khud ko be-e'tibar karte ho"
وعدہ کیوں بار بار کرتے ہو خود کو بے اعتبار کرتے ہو
वा'दा क्यूँ बार बार करते हो ख़ुद को बे-ए'तिबार करते हो

"na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne chalo jaane do betabi men aisa ho hi jaata hai"
"ga.i thi kah ke main laati huun zulf-e-yar ki bu phiri to bad-e-saba ka dimagh bhi na mila"
"'jalal' ahd-e-javani hai doge dil sau baar abhi ki tauba nahin e'tibar ke qabil"
"ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi dard kam ho ya ziyada ho magar ho to sahi"
"shab ko mai khuub si pi sub.h ko tauba kar li rind ke rind rahe haath se jannat na ga.i"
"main ne puchha ki hai kya shaghl to hans kar bole aaj kal ham tere marne ki dua karte hain"