Sher
"aaj dariya men ajab shor ajab halchal hai kis ki kashti ne qadam ab-e-ravan par rakkha"
"hava se kah do ki kuchh der ko Thahar jaa.e khajil hamari ibarat hava se hoti hai"
ہوا سے کہہ دو کہ کچھ دیر کو ٹھہر جائے خجل ہماری عبارت ہوا سے ہوتی ہے
हवा से कह दो कि कुछ देर को ठहर जाए ख़जिल हमारी इबारत हवा से होती है

"aaj dariya men ajab shor ajab halchal hai kis ki kashti ne qadam ab-e-ravan par rakkha"
"sab ek dhund liye phir rahe hain ankhon men kisi ke chehre pe maazi na haal dekhta huun"
"khuda ne bakhsha hai kya zarf mom-batti ko pighalte rahna magar saari raat chup rahna"
"azizo aao ab ik al-vida.i jashn kar len ki is ke baa'd ik lamba safar afsos ka hai"
"hava to hai hi mukhalif mujhe Darata hai kya hava se puchh ke koi diye jalata hai kya"
"'talab' baDi hi aziyyat ka kaam hota hai bikharte TuTte rishton ka bojh Dhona bhi"