Sher
"ai dil tamam naf.a hai sauda-e-ishq men ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda"is dard-e-juda.i se kahin jaan nikal jaa.e 'azurda' mire haq men zara yuun bhi dua kar"
اس درد جدائی سے کہیں جان نکل جائے آزردہؔ مرے حق میں ذرا یوں بھی دعا کر
इस दर्द-ए-जुदाई से कहीं जान निकल जाए 'आज़ुर्दा' मिरे हक़ में ज़रा यूँ भी दुआ कर
"ai dil tamam naf.a hai sauda-e-ishq men ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin"
"vo aur va.ada vasl ka qasid nahin nahin sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain"
"'azurda' mar ke kucha-e-janan men rah gaya di thi dua kisi ne ki jannat men ghar mile"
"naseh yahan ye fikr hai siina bhi chaak ho hai fikr-e-bakhiya tujh ko gareban ke chaak men"
"kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq shayad ki gardish aaj tujhe asman nahin"
"falak ne bhi sikhe hain tere hi taur ki apne kiye par pasheman nahin"