Sher
"ai dil tamam naf.a hai sauda-e-ishq men ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda"vo aur va.ada vasl ka qasid nahin nahin sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain"
وہ اور وعدہ وصل کا قاصد نہیں نہیں سچ سچ بتا یہ لفظ انہی کی زباں کے ہیں
वो और वा'दा वस्ल का क़ासिद नहीं नहीं सच सच बता ये लफ़्ज़ उन्ही की ज़बाँ के हैं
"ai dil tamam naf.a hai sauda-e-ishq men ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin"
"'azurda' mar ke kucha-e-janan men rah gaya di thi dua kisi ne ki jannat men ghar mile"
"is dard-e-juda.i se kahin jaan nikal jaa.e 'azurda' mire haq men zara yuun bhi dua kar"
"naseh yahan ye fikr hai siina bhi chaak ho hai fikr-e-bakhiya tujh ko gareban ke chaak men"
"kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq shayad ki gardish aaj tujhe asman nahin"
"falak ne bhi sikhe hain tere hi taur ki apne kiye par pasheman nahin"