Sher
"jo yad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai to goya phuul se khushbu kashid kar li hai"
"hudud-e-vaqt ke darvaze muntazir hain 'nasim' ki tu ye fasle kar ke ubuur dastak de"
حدود وقت کے دروازے منتظر ہیں نسیمؔ کہ تو یہ فاصلے کر کے عبور دستک دے
हुदूद-ए-वक़्त के दरवाज़े मुंतज़िर हैं 'नसीम' कि तू ये फ़ासले कर के उबूर दस्तक दे

"jo yad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai to goya phuul se khushbu kashid kar li hai"
"safar ka marhala-e-sakht hi ghanimat tha Thahar ga.e to badan ki thakan ziyada hui"
"jo baat ki thi hava men bikharne vaali thi jo khat likha tha vo purzon men baTne vaala tha"
"diye ab shahr men raushan nahin hain hava ki hukmarani ho ga.i kya"
"avazon ki bhiiD men itne shor-sharabe men apni bhi ik raa.e rakhna kitna mushkil hai"
"kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi kabhi badan ke liye ik kiran ziyada hui"