Sher
"jo ashk surkh hai nama-nigar hai dil ka sukut-e-shab men likhe ja rahe hain afsane"
"ho gaya a.ina-e-hal bhi gard-aluda god men lasha-e-mazi ko liye baiTha huun"
ہو گیا آئنہ حال بھی گرد آلودہ گود میں لاشئہ ماضی کو لیے بیٹھا ہوں
हो गया आइना-ए-हाल भी गर्द-आलूदा गोद में लाशा-ए-माज़ी को लिए बैठा हूँ

"jo ashk surkh hai nama-nigar hai dil ka sukut-e-shab men likhe ja rahe hain afsane"
"abhi rakkha rahne do taaq par yunhi aftab ka aa.ina ki abhi to meri nigah men vahi mera mah-e-tamam hai"
"jaan si shai ki mujhe ishq men kuchh qadr nahin zindagi jaise kahin main ne paDi paa.i hai"
"chand tinkon ki saliqe se agar tartib ho bijliyon ko bhi tavaf-e-ashiyan karna paDe"
"ye zamin khud ho jannaton ka suhag yuun huun abad saare virane"
"sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaa.iz dekh mathe pe abhi chand numayan hoga"