Sher
"aaj bhi 'sipra' us ki khushbu mill malik le jaata hai main lohe ki naaf se paida jo kasturi karta huun"
"mill malik ke kutte bhi charbile hain lekin mazduron ke chehre piile hain"
مل مالک کے کتے بھی چربیلے ہیں لیکن مزدوروں کے چہرے پیلے ہیں
मिल मालिक के कुत्ते भी चर्बीले हैं लेकिन मज़दूरों के चेहरे पीले हैं

"aaj bhi 'sipra' us ki khushbu mill malik le jaata hai main lohe ki naaf se paida jo kasturi karta huun"
"ab tak mire a.asab pe mehnat hai musallat ab tak mire kanon men mashinon ki sada hai"
"kabhi apne vasa.el se na baDh kar khvahishen paalo vo pauda TuuT jaata hai jo la-mahdud phalta hai"
"kitna buad hai mere fan aur peshe ke mabain bahar danish-var huun lekin mill men oil-man"
"aaj itna jalao ki pighal jaa.e mira jism shayad isi surat hi sukun paa.e mira jism"
"jo kar raha hai dusron ke zehn ka ilaaj vo shakhs khud bahut baDa zehni mariz hai"