Sher
"dar-o-divar pe hasrat se nazar karte hain khush raho ahl-e-vatan ham to safar karte hain"
"aaj kal lucknow men ai 'akhtar' dhuum hai teri khush-bayani ki"
آج کل لکھنؤ میں اے اخترؔ دھوم ہے تیری خوش بیانی کی
आज कल लखनऊ में ऐ 'अख़्तर' धूम है तेरी ख़ुश-बयानी की

"dar-o-divar pe hasrat se nazar karte hain khush raho ahl-e-vatan ham to safar karte hain"
"be-muravvat ho bevafa ho tum apne matlab ke ashna ho tum"
"yahi tashvish shab-o-roz hai bangale men lucknow phir kabhi dikhla.e muqaddar mera"
"ulfat ne tiri ham ko to rakkha na kahin ka dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka"
"kamar dhoka dahan uqda ghazal ankhen pari chehra shikam hiira badan khushbu jabin dariya zaban iisa"
"yaad men apne yar-e-jani ki ham ne mar mar ke zindagani ki"