saare jahan se achha Hindostan hamara hum bulbulen hain is ki, ye gulsitan hamara
By language
Urdu Shayari — page 2
Urdu shers and ghazals in Hinglish, with Devanagari text and English translations.
hum ko un se wafa ki hai ummeed jo nahin jaante wafa kya hai
har ek baat pe kehte ho tum ki tu kya hai tumhi kaho ki ye andaaz-e-guftagu kya hai
hui muddat ki 'Ghalib' mar gaya par yaad aata hai wo har ik baat par kehna ki yun hota to kya hota
ye masail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib' tujhe hum wali samajhte jo na baada-khwaar hota
nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle
aah ko chahiye ik umr asar hone tak kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
hum ne maana ki taghaful na karoge lekin khaak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
ishq par zor nahin, hai ye wo aatish 'Ghalib' ki lagaye na lage aur bujhaye na bane
un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq wo samajhte hain ki beemar ka haal achha hai
dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyun roenge hum hazaar baar, koi hamein sataye kyun
hain aur bhi duniya mein sukhanvar bahut achhe kehte hain ki 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaan aur
maut ka ek din muayyan hai neend kyun raat bhar nahin aati
koi ummeed bar nahin aati koi soorat nazar nahin aati
ragon mein daudte phirne ke hum nahin qayal jab aankh se hi na tapka to phir lahu kya hai
bazicha-e-atfal hai duniya mere aage hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ishq ne 'Ghalib' nikamma kar diya warna hum bhi aadmi the kaam ke
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke khush rakhne ko 'Ghalib' ye khayal achha hai
dil-e-nadan tujhe hua kya hai aakhir is dard ki dawa kya hai
hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle