Allah bachaye marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achha nahin hota
By language
Urdu Shayari
Urdu shers and ghazals in Hinglish, with Devanagari text and English translations.
duniya mein hoon, duniya ka talabgaar nahin hoon bazaar se guzra hoon, khareedar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin baais-e-tark-e-mulaqat bataate bhi nahin
khoob parda hai ki chilman se lage baithe hain saaf chhupte bhi nahin, saamne aate bhi nahin
tum hamare kisi tarah na hue warna duniya mein kya nahin hota
asar us ko zara nahin hota ranj raahat-faza nahin hota
tum mere paas hote ho goya jab koi doosra nahin hota
duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
laayi hayaat aaye, qaza le chali chale apni khushi na aaye na apni khushi chale
ab to ghabra ke ye kehte hain ki mar jayenge mar ke bhi chain na paaya to kidhar jayenge
dil ki veerani ka kya mazkoor hai ye nagar sau martaba loota gaya
ishq Mir ik bhaari patthar hai kab ye tujh naatavaan se uthta hai
yun uthe aah us gali se hum jaise koi jahan se uthta hai
dekh to dil ki jaan se uthta hai ye dhuan sa kahan se uthta hai
patta patta boota boota haal hamara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saara jaane hai
hai Ram ke wujood pe Hindostan ko naaz ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-Hind
sach keh doon ae brahman, gar tu bura na maane tere sanam-kadon ke but ho gaye puraane
sabaq phir padh sadaqat ka, adalat ka, shujaat ka liya jayega tujh se kaam duniya ki imamat ka
yaqeen mohkam, amal paiham, mohabbat fateh-e-aalam jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamsheeren
hazaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman mein deeda-war paida
ho mera kaam gharibon ki himayat karna dardmandon se zaeefon se mohabbat karna
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shama ki soorat ho khudaya meri
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna Hindi hain hum, watan hai Hindostan hamara