hum ko un se wafa ki hai ummeed jo nahin jaante wafa kya hai
Shayari · 19 pieces
Love Shayari
मोहब्बत
patta patta boota boota haal hamara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saara jaane hai
tum hamare kisi tarah na hue warna duniya mein kya nahin hota
ishq Mir ik bhaari patthar hai kab ye tujh naatavaan se uthta hai
Allah bachaye marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achha nahin hota
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin baais-e-tark-e-mulaqat bataate bhi nahin
har ek baat pe kehte ho tum ki tu kya hai tumhi kaho ki ye andaaz-e-guftagu kya hai
asar us ko zara nahin hota ranj raahat-faza nahin hota
yun uthe aah us gali se hum jaise koi jahan se uthta hai
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
khoob parda hai ki chilman se lage baithe hain saaf chhupte bhi nahin, saamne aate bhi nahin
nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle
tum mere paas hote ho goya jab koi doosra nahin hota
aah ko chahiye ik umr asar hone tak kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
hum ne maana ki taghaful na karoge lekin khaak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
ishq par zor nahin, hai ye wo aatish 'Ghalib' ki lagaye na lage aur bujhaye na bane
un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq wo samajhte hain ki beemar ka haal achha hai
ishq ne 'Ghalib' nikamma kar diya warna hum bhi aadmi the kaam ke
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahi intezaar hota