SHAWORDS

aaj bhi us ne sar-e-bazm suni baat nahin — Muneer Anjum

HomeMuneer AnjumGhazal
"aaj bhi us ne sar-e-bazm suni baat nahin aur ye baat mire dost nai baat nahin ghair kaa zikr kiyaa aur kahaa ye hans kar aap jo sochte hain aisi koi baat nahin aap ke vaaste main jaan bhi de saktaa huun aap ke vaaste lekin ye baDi baat nahin ham gae vaqt mein yusuf bhi kahe jaate rahe ye gai baat hai itni bhi gai baat nahin log is vaaste laDte hain mire saath 'munir' main jo har baat pe kahtaa huun koi baat nahin"
Urdu

آج بھی اس نے سر بزم سنی بات نہیں اور یہ بات مرے دوست نئی بات نہیں غیر کا ذکر کیا اور کہا یہ ہنس کر آپ جو سوچتے ہیں ایسی کوئی بات نہیں آپ کے واسطے میں جان بھی دے سکتا ہوں آپ کے واسطے لیکن یہ بڑی بات نہیں ہم گئے وقت میں یوسف بھی کہے جاتے رہے یہ گئی بات ہے اتنی بھی گئی بات نہیں لوگ اس واسطے لڑتے ہیں مرے ساتھ منیرؔ میں جو ہر بات پہ کہتا ہوں کوئی بات نہیں

Hindi

आज भी उस ने सर-ए-बज़्म सुनी बात नहीं और ये बात मिरे दोस्त नई बात नहीं ग़ैर का ज़िक्र किया और कहा ये हँस कर आप जो सोचते हैं ऐसी कोई बात नहीं आप के वास्ते मैं जान भी दे सकता हूँ आप के वास्ते लेकिन ये बड़ी बात नहीं हम गए वक़्त में यूसुफ़ भी कहे जाते रहे ये गई बात है इतनी भी गई बात नहीं लोग इस वास्ते लड़ते हैं मिरे साथ 'मुनीर' मैं जो हर बात पे कहता हूँ कोई बात नहीं

aaj bhī us ne sar-e-bazm sunī baat nahīñ
Muneer Anjum
Muneer Anjum
Muneer Anjum
poet8 quotes

More by Muneer Anjum

View all →
Quote
"aaeinge raah-e-'ishq mein kuchh haadsaat aur dil mujh se kah rahaa hai zaraa ehtiyaat aur bachchon se phir kahaa hai ki gaaDi nahin mili bachchon se phir kahaa hai ki bas ek raat aur pahle bhi tere jud-o-karam se 'ataa hui ai shaah-e-mumkinaat mujhe ek naa't aur vo baat-chit 'ishq pe kartaa to hai magar kahne ki baat aur hai karne ki baat aur ye log jo bhi kahte hain logon ki baat chhoD logon ke saath aur huun main tere saath aur ik dusre ke saath bhi banti na thi 'munir' aur aa gai safar mein achaanak se raat aur"
Muneer AnjumMuneer Anjum
Quote
"dard hotaa hai to haathon pe uThaa letaa hai meri aankhon se vo ashkon ko churaa letaa hai us ke maqsad ko samajh us ki 'ibaarat pe na jaa 'ishq to naar ko gulzaar banaa letaa hai ye adaa us ki mujhe duur na hone degi ruuTh jaataa huun to siine se lagaa letaa hai ye jo ghurbat mein udaasi kaa sabab hai mat puchh mujh se chhoTaa bhi mujhe chaar sunaa letaa hai baat kirdaar ki kartaa hi nahin hai koi log kahte hain bataa kitnaa kamaa letaa hai mere purkhon kaa lagaayaa huaa ye peD 'munir' mere bachchon ko bhi saae mein biThaa letaa hai"
Muneer AnjumMuneer Anjum