Quote
"be-amaan shab kaa dhuaan Dar ki taraf khinchtaa hai ek naadida samundar ki taraf khinchtaa hai dil kahin duur bahut duur nikal jaataa hai vaqt tasvir ke andar ki taraf khinchtaa hai main khurachtaa huun hatheli se lakiron kaa azaab ik sitaaraa mujhe mehvar ki taraf khinchtaa hai dasht-e-ehsaas ki shiddat se nikalnaa hai muhaal dard biite hue manzar ki taraf khinchtaa hai chand dhundlaae hoe aks hain pas-manzar mein ye koi khvaab mujhe ghar ki taraf khinchtaa hai"
