"be-amaan shab kaa dhuaan Dar ki taraf khinchtaa hai ek naadida samundar ki taraf khinchtaa hai dil kahin duur bahut duur nikal jaataa hai vaqt tasvir ke andar ki taraf khinchtaa hai main khurachtaa huun hatheli se lakiron kaa azaab ik sitaaraa mujhe mehvar ki taraf khinchtaa hai dasht-e-ehsaas ki shiddat se nikalnaa hai muhaal dard biite hue manzar ki taraf khinchtaa hai chand dhundlaae hoe aks hain pas-manzar mein ye koi khvaab mujhe ghar ki taraf khinchtaa hai"
zindagi kyaa hai ek manzar hai — Rahil Bukhari
"zindagi kyaa hai ek manzar hai ret hai tishnagi hai kikar hai aap behad hasin hain lekin dil to yaaqut kaa bhi patthar hai ek tasvir meri aankhon ki ek tasvir mein samundar hai saaya-e-atifat mein rahtaa huun gham tiraa raahaton se baDh kar hai aap kyuun der se khaDe hain yahaan aaiye paas hi miraa ghar hai kucha-e-zaat mein bhaTaktaa huun aap kaa raasta to az-bar hai sansani aahaTon se pahle thi khauf khaamoshiyon kaa mazhar hai ek tasvir mein jiye ham log zindagi bhi ajiib manzar hai main sitaaraa-mizaaj huun 'raahil' jaagnaa hi miraa muqaddar hai"
زندگی کیا ہے ایک منظر ہے ریت ہے تشنگی ہے کیکر ہے آپ بے حد حسین ہیں لیکن دل تو یاقوت کا بھی پتھر ہے ایک تصویر میری آنکھوں کی ایک تصویر میں سمندر ہے سایۂ عاطفت میں رہتا ہوں غم ترا راحتوں سے بڑھ کر ہے آپ کیوں دیر سے کھڑے ہیں یہاں آئیے پاس ہی مرا گھر ہے کوچۂ ذات میں بھٹکتا ہوں آپ کا راستہ تو از بر ہے سنسنی آہٹوں سے پہلے تھی خوف خاموشیوں کا مظہر ہے ایک تصویر میں جیے ہم لوگ زندگی بھی عجیب منظر ہے میں ستارا مزاج ہوں راحلؔ جاگنا ہی مرا مقدر ہے
ज़िंदगी क्या है एक मंज़र है रेत है तिश्नगी है कीकर है आप बेहद हसीन हैं लेकिन दिल तो याक़ूत का भी पत्थर है एक तस्वीर मेरी आँखों की एक तस्वीर में समुंदर है साया-ए-आतिफ़त में रहता हूँ ग़म तिरा राहतों से बढ़ कर है आप क्यूँ देर से खड़े हैं यहाँ आइए पास ही मिरा घर है कूचा-ए-ज़ात में भटकता हूँ आप का रास्ता तो अज़-बर है सनसनी आहटों से पहले थी ख़ौफ़ ख़ामोशियों का मज़हर है एक तस्वीर में जिए हम लोग ज़िंदगी भी अजीब मंज़र है मैं सितारा-मिज़ाज हूँ 'राहिल' जागना ही मिरा मुक़द्दर है

More by Rahil Bukhari
View all →"apni aashufta tabiat kaa maza letaa huun kash lagaataa huun aziyyat kaa maza letaa huun aankh bhi saamne hone pe yaqin rakhti hai khvaab-dar-khvaab suhulat kaa maza letaa huun tu mire hisse ki vahshat kaa maza letaa hai aur main teri mashiyyat kaa maza letaa huun chaandni sard havaa phuul parinde khushbu raat-bhar teri zarurat kaa maza letaa huun jhiil mein aag lagaataa huun baDi fursat se aur phir baiTh ke fursat kaa maza letaa huun khauf khaataa huun kahin khud se na uktaa jaaun vaqt ki taaza rivaayat kaa maza letaa huun"
"vaqt ki dastaras se baahar huun main nae qaafiye kaa masdar huun mujh ko is paar sochne vaale main tire saamne kaa manzar huun ye abhi tak nahin khulaa mujh par ghar mein hote hue bhi be-ghar huun mujh ko aankhein pasand aati hain main kisi shaam kaa muqaddar huun main qalandar mizaaj huun 'raahil' dasht ki khaamushi kaa mazhar huun"
"ye kis ne dasht-e-balaa se mujhe pukaaraa hai abhi abhi to mujhe zindagi ne haaraa hai tasavvur-e-rukh-e-jaanaan kiye hue ham log hamaari aankh mein aansu nahin sitaaraa hai koi charaagh na jugnu na aaina na kitaab ye kaisaa khvaab miri aankh par utaaraa hai bas ik umiid hai jis ne sambhaal rakkhaa hai bas ek naam hai jis kaa hamein sahaaraa hai abhi main aaya-e-tathir paDhne vaalaa huun ye khaamushi kisi ilhaam kaa ishaaraa hai"
"aankh kaa manzar-naama baanT liyaa jaae yaani khvaab kaa raqba baanT liyaa jaae ek charaagh ko mahram-e-raaz kiyaa jaae aur andheraa konaa baanT liyaa jaae tere mere beach mizaaj kaa parda hai kyaa kahte ho parda baanT liyaa jaae baTvaaraa maqdur huaa to ghar hi kyuun behtar hogaa rasta baanT liyaa jaae yaar kitaabein mujh ko khaae jaati hain sochtaa huun ab kamra baanT liyaa jaae"
"zindagi husn se taabir bhi ho sakti thi chaandni dasht pe tahrir bhi ho sakti thi be-bas jaada-e-pur-khaar pe laai mujh ko bebasi paanv ki zanjir bhi ho sakti thi ek aavaaz-e-tilismaat mein Duubi aavaaz aisi aavaaz ki tasvir bhi ho sakti thi ek saaya pas-e-divaar bhi lahraataa thaa sansani itni hama-gir bhi ho sakti thi bhaagte bhaagte sab rang sameTe ham ne vaqt kaa pher hai taakhir bhi ho sakti thi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"