SHAWORDS

bante hain farzaane log — Ameer Qazalbash

"bante hain farzaane log kitne hain divaane log dair o haram ki raah se hi jaate hain mai-khaane log dekh ke mujh ko gum-sum hain aae the samjhaane log kyaa sunte naaseh ki baat ham Thahre divaane log nichi nazar se mujh ko na dekho ghaD leinge afsaane log divaana kahte hain 'amir' khuub mujhe pahchaane log"
Urdu

بنتے ہیں فرزانے لوگ کتنے ہیں دیوانے لوگ دیر و حرم کی راہ سے ہی جاتے ہیں مے خانے لوگ دیکھ کے مجھ کو گم صم ہیں آئے تھے سمجھانے لوگ کیا سنتے ناصح کی بات ہم ٹھہرے دیوانے لوگ نیچی نظر سے مجھ کو نہ دیکھو گھڑ لیں گے افسانے لوگ دیوانہ کہتے ہیں امیرؔ خوب مجھے پہچانے لوگ

Hindi

बनते हैं फ़रज़ाने लोग कितने हैं दीवाने लोग दैर ओ हरम की राह से ही जाते हैं मय-ख़ाने लोग देख के मुझ को गुम-सुम हैं आए थे समझाने लोग क्या सुनते नासेह की बात हम ठहरे दीवाने लोग नीची नज़र से मुझ को न देखो घड़ लेंगे अफ़्साने लोग दीवाना कहते हैं 'अमीर' ख़ूब मुझे पहचाने लोग

bante haiñ farzāne log
Ameer Qazalbash
Ameer Qazalbash
Ameer Qazalbash
poet83 quotes

More by Ameer Qazalbash

View all →
Quote
"paain har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khvaabida shahr jaagne vaalaa hai lauT aao baiThi hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se laraztaa rahaa paDh nahin sakaa phaili hui thiin ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaaon tak aa gae ab hain yahaan har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin is tarah chhaa gai hain nazar par udaasiyaan phailaa rahaa hai kaun kabhi sochtaa huun main khvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban gae hain agar ajnabi to kyaa chhoD aaeingi mujhe mire dar par udaasiyaan"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash
Quote
"vo ik lafz jo be-sadaa jaaegaa vahi muddaton tak sunaa jaaegaa koi hai jo mere taaaqub mein hai mujhe meraa chehra dikhaa jaaegaa vo ik shakhs jo dushman-e-jaan sahi magar phir bhi apnaa kahaa jaaegaa jalegi koi mishal-e-jaan abhi magar phir andheraa saa chhaa jaaegaa nafi-e-jurat-e-haq-numaai sahi magar kab kisi se kahaa jaaegaa yahaan ik shajar muntazir saa bhi hai ab aakhir kahaan tak chalaa jaaegaa main vo mishal-e-nim-shab huun 'amir' jise kal kaa suraj bujhaa jaaegaa"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash
Quote
"kahin salib kahin karbalaa nazar aae jidhar nigaah uThe zakhm saa nazar aae bujhi hai pyaas zamin ki to ye tapish kyuun hai vo abr hai to barastaa huaa nazar aae bajaa hai apni aqidat magar savaal ye hai vo aadmi ho to kyunkar khudaa nazar aae chalo ki gher lein us ko lahu lahu chehre har ek samt use aaina nazar aae hamin ne tan se judaa kar liyaa hai sar apnaa bas ek ham the jo sab se judaa nazar aae kahaan kahaan abhi imkaan-e-zindagi hai 'amir' dhuaan chhaTe to koi raasta nazar aae"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash