SHAWORDS

basti tujh bin ujaaD si hai — Insha Allah Khan Insha

"basti tujh bin ujaaD si hai kam-bakht ye shab pahaaD si hai shaayad ki hui saraayat-e-ishq kuchh siine mein chir-phaaD si hai har-chand ki bolte nahin vo baaham par chheD-chhaaD si hai so rahte hain ek saath lekin talvaar ke biich aaD si hai inshaa-allaah shaayad aayaa is kuche mein bhiD-bhaaD si hai"
Urdu

بستی تجھ بن اجاڑ سی ہے کمبخت یہ شب پہاڑ سی ہے شاید کہ ہوئی سرایت عشق کچھ سینہ میں چیر پھاڑ سی ہے ہر چند کہ بولتے نہیں وہ باہم پر چھیڑ چھاڑ سی ہے سو رہتے ہیں ایک ساتھ لیکن تلوار کے بیچ آڑ سی ہے انشا اللہ شاید آیا اس کوچہ میں بھیڑ بھاڑ سی ہے

Hindi

बस्ती तुझ बिन उजाड़ सी है कम-बख़्त ये शब पहाड़ सी है शायद कि हुई सरायत-ए-इश्क़ कुछ सीने में चीर-फाड़ सी है हर-चंद कि बोलते नहीं वो बाहम पर छेड़-छाड़ सी है सो रहते हैं एक साथ लेकिन तलवार के बीच आड़ सी है इंशा-अल्लाह शायद आया इस कूचे में भीड़-भाड़ सी है

bastī tujh bin ujaaḌ sī hai
Insha Allah Khan Insha
Insha Allah Khan Insha
Insha Allah Khan Insha
poet133 quotes