Quote
"kis tayaqqun talak gae ham log phir bhi ai dil bhaTak gae ham log misl-e-dariyaa mili thi sairaabi misl-e-saahil bilak gae ham log yunhi ik din safar kiyaa aaghaaz yunhi ik roz thak gae ham log ehtimaaman hue the ham-aaghosh ehtiyaatan bahak gae ham log ek khushbu chaman mein laai thi aur sahraa talak gae ham log nuur thaa yaa vo ik badan thaa 'samir' us ko chhu kar chamak gae ham log"
N
Naeem Sameer