SHAWORDS

be-sabab hi idhar-udhar jaataa — Aatish Indori

HomeAatish IndoriGhazal
"be-sabab hi idhar-udhar jaataa tum nahin hote to bikhar jaataa phuul ki tarah tum agar khilte itr ki tarah main bikhar jaataa khvaab dekhe the har jagah ham ne chhoD kar shahr ye kidhar jaataa baat ye hai ki ye judaai hai haadisa hotaa to guzar jaataa phir judaa honaa hotaa naa-mumkin jism mein jism gar utar jaataa"
Urdu

بے سبب ہی ادھر ادھر جاتا تم نہیں ہوتے تو بکھر جاتا پھول کی طرح تم اگر کھلتے عطر کی طرح میں بکھر جاتا خواب دیکھے تھے ہر جگہ ہم نے چھوڑ کر شہر یہ کدھر جاتا بات یہ ہے کہ یہ جدائی ہے حادثہ ہوتا تو گزر جاتا پھر جدا ہونا ہوتا نا ممکن جسم میں جسم گر اتر جاتا

Hindi

बे-सबब ही इधर-उधर जाता तुम नहीं होते तो बिखर जाता फूल की तरह तुम अगर खिलते इत्र की तरह मैं बिखर जाता ख़्वाब देखे थे हर जगह हम ने छोड़ कर शहर ये किधर जाता बात ये है कि ये जुदाई है हादिसा होता तो गुज़र जाता फिर जुदा होना होता ना-मुम्किन जिस्म में जिस्म गर उतर जाता

be-sabab hī idhar-udhar jaatā
Aatish Indori
Aatish Indori
Aatish Indori
poet15 quotes

More by Aatish Indori

View all →
Quote
"kyaa hai unchaai mohabbat ki bataate jaao panchhiyon uD ke yuun hi khvaab dikhaate jaao peD patthar kaa javaab aaj bhi dete phal se choT khaao bhale par rishte nibhaate jaao yuun bhi paighaam mohabbat kaa pahunch jaaegaa saath insaan ke parindon ko basaate jaao shahr mein kaam bahut saare samay lekin kam mat karo baat magar haath hilaate jaao ik do mat-bhed to har ghar mein huaa karte hain in ko netaa ji havaa mat do bujhaate jaao gaanv mein naav thi kaaghaz ki safar aasaan thaa ik musaafir huun yahaan raah dikhaate jaao gaaliyaan aise hi do mujh ko hamesha 'aatish' ghalatiyaan meri isi tarah bataate jaao"
Aatish IndoriAatish Indori
Quote
"baat bachchon ki thi laDne ko siyaane nikle phir ajab kyaa hai ki bachche bhi laDaake nikle dhyaan maan rakhti thi meraa vo zamaane nikle hain yuun ab roz savere se kamaane nikle aam ke baagh se jab se hain parinde ghaaeb baad us ke kahaan phir aam rasile nikle poTli jis ke liye laDti rahin aulaadein maan ki us poTli mein sirf jharoke nikle ye to kal-yug hai kharaa is mein nahin hain koi mujh ko shikva nahin sikke mire khoTe nikle phir gharibon ki shikaayat kaa khudaa haafiz hain jab vaziron ke amiron hi se rishte nikle gard jab saaf hui sab ne ye manzar dekhaa jo nazar aate the unche vahi baune nikle ibtidaa phir se hai ek aur safar ki 'aatish' baad marne ke bhale pairon se juute nikle"
Aatish IndoriAatish Indori