SHAWORDS

hai agar laanaa inqalaab nayaa — Akhtar Madhupuri

"hai agar laanaa inqalaab nayaa pahle jiine kaa ho hisaab nayaa main ne dekhaa thaa ek khvaab nayaa aae din ab hai iztiraab nayaa pesh-e-lafz intisaab-e-baab nayaa main huun ik saahib-e-kitaab nayaa main ugaataa thaa nuur ki faslein khvaab thaa meraa iktisaab nayaa ru-ba-ru chehra thaa puraanaa saa aaina detaa kyaa javaab nayaa gum thi be-khvaabiyon mein aankh miri dekhtaa kyaa main koi khvaab nayaa un ko suntaa rahaa main dekhe baghair khuub thaa darmiyaan hijaab nayaa ik puraane savaal kaa 'akhtar' detaa kyaa main koi javaab nayaa"
Urdu

ہے اگر لانا انقلاب نیا پہلے جینے کا ہو حساب نیا میں نے دیکھا تھا ایک خواب نیا آئے دن اب ہے اضطراب نیا پیش لفظ انتساب باب نیا میں ہوں اک صاحب کتاب نیا میں اگاتا تھا نور کی فصلیں خواب تھا میرا اکتساب نیا رو بہ رو چہرہ تھا پرانا سا آئنہ دیتا کیا جواب نیا گم تھی بے خوابیوں میں آنکھ مری دیکھتا کیا میں کوئی خواب نیا ان کو سنتا رہا میں دیکھے بغیر خوب تھا درمیاں حجاب نیا اک پرانے سوال کا اخترؔ دیتا کیا میں کوئی جواب نیا

Hindi

है अगर लाना इंक़लाब नया पहले जीने का हो हिसाब नया मैं ने देखा था एक ख़्वाब नया आए दिन अब है इज़्तिराब नया पेश-ए-लफ़्ज़ इंतिसाब-ए-बाब नया मैं हूँ इक साहिब-ए-किताब नया मैं उगाता था नूर की फ़स्लें ख़्वाब था मेरा इकतिसाब नया रू-ब-रू चेहरा था पुराना सा आइना देता क्या जवाब नया गुम थी बे-ख़्वाबियों में आँख मिरी देखता क्या मैं कोई ख़्वाब नया उन को सुनता रहा मैं देखे बग़ैर ख़ूब था दरमियाँ हिजाब नया इक पुराने सवाल का 'अख़्तर' देता क्या मैं कोई जवाब नया

hai agar laanā inqalāb nayā
Akhtar Madhupuri
Akhtar Madhupuri
Akhtar Madhupuri
poet17 quotes

More by Akhtar Madhupuri

View all →
Quote
"mujhe din-raat fikr-e-aashiyaan maalum hoti hai ki bargashta nigaah-e-baaghbaan maalum hoti hai jo dil aazaad ho to har jagah haasil hai aazaadi qafas mein bhi bahaar-e-gulsitaan maalum hoti hai pae-gul-gasht shaayad aaj vo jaan-e-bahaar aayaa chaman ki patti patti gulsitaan maalum hoti hai ujaDti aa rahi hai muddaton se dekhiye phir bhi bahaar-e-baagh-e-aalam be-khizaan maalum hoti hai tabassum un ke honTon par taDap hai mere siine mein kahaan bijli chamakti hai kahaan maalum hoti hai shafaq phuli hui hai har taraf khun-e-shahidaan ki zamin-e-ku-e-qaatil aasmaan maalum hoti hai kisi ki anjuman mein mujh pe ye paabandiyaan 'akhtar' zaraa si baat par kaTti zabaan maalum hoti hai"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri
Quote
"jahaan-e-be-sabaati mein tamaashaa-e-jahaan kab tak chamakte mehr-o-mah taare zamin-o-aasmaan kab tak shab-e-gham mein tajalli par na itraa ai dil-e-muztar sitaaron ki ye chashmak aur raqs-e-kahkashaan kab tak samundar ki khamoshi ek tufaan saath laaegi kisi naa-mehrbaan ki ye nigaah-e-mehrbaan kab tak baDhaae jaa qadam tu baDh ke sargarm-e-amal ho jaa yunhi taktaa rahegaa su-e-gard-e-kaarvaan kab tak lagaa kar aag khud hi kyon na bad-bakhti pe main ro luun jalaaein aashiyaan ko mere aakhir bijliyaan kab tak ye behtar hai falak honaa hai jo kuchh ab vo ho jaae rahun teri balaa-e-naa-gahaan ke darmiyaan kab tak kamaal-e-zabt par bhi ashk-e-gham aankhon se bah nikle bhalaa roke se ruk sakti thi ye sail-e-ravaan kab tak fazaa-e-zist par taari hai 'akhtar' yaas kaa aalam na jaane matla-e-ummid hogaa zarfishaan kab tak"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri
Quote
"go ba-zaahir to mehrbaan hain aap jaantaa huun ki bad-gumaan hain aap intizaam-e-chaman nahin hotaa kyaa kahun kaise baaghbaan hain aap maani-e-paasbaan nahin maalum kaun maane ki paasbaan hain aap kaarvaan har qadam pe luTtaa hai vaaqai mir-e-kaarvaan hain aap is mein gunjaaish-e-kalaam nahin kishvar-e-dil ke hukmraan hain aap apni hasti pe naaz hai mujh ko meri hasti ke raaz-daan hain aap aap se mujh ko rabt-e-mohkam hai zarra main mehr-e-zau-fishaan hain aap hazrat-e-abr-ahsani ke tufail kahaan 'akhtar' the ab kahaan hain aap"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri
Quote
"aah dil par asar na ho jaae husn ki aankh tar na ho jaae daagh-e-dil ki taraqqiyaan tauba ye sitaara qamar na ho jaae aashiyaan to banaa rahaa huun magar bijliyon ko khabar na ho jaae Dar hai gulshan kaa aashiyaan kaa nahin nazr-e-barq-o-sharar na ho jaae raaz-e-dil is liye nahin kahtaa ishq naa-mo'tabar na ho jaae dil se un ko bhulaa to duun lekin zindagi talkh-tar na ho jaae aate aate qarib manzil ke bad-gumaan raahbar na ho jaae shaam aisi nahin koi 'akhtar' jis ki paidaa sahar na ho jaae"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri
Quote
"shikva-e-kasrat-e-bedaad karun yaa na karun khaatir-e-husn ko naashaad karun yaa na karun dil-e-barbaad ko aabaad karun yaa na karun sochtaa huun ki tujhe yaad karun yaa na karun aasmaan mujh se hiraasaan hi rahaa kartaa hai khvaah main naala-o-fariyaad karun yaa na karun khud bhi sayyaad pareshaan hai mujhe kar ke asiir sochtaa hai ise aazaad karun yaa na karun jaur-e-gulchin hai ki baDhtaa hi chalaa jaataa hai jaur-e-gulchin pe main fariyaad karun yaa na karun mausam-e-gul ki hasin shaam hai mai-khaana-ba-dosh saaqi aise mein tujhe yaad karun yaa na karun zindagi kaif-ba-daamaan thi miri jab 'akhtar' ab vo biite hue din yaad karun yaa na karun"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri
Quote
"chehra sabab baghair nahin meraa zard hai dil par lagi hai choT kaleje mein dard hai guzraa hai is taraf se koi kaarvaan zarur manzil ki samt jab to havaaon mein gard hai phir hashr ho na jaae bapaa kaaenaat mein bimaar-e-gham ke honTon pe ik aah-e-sard hai vo raah-e-haq mein maut se Dartaa nahin kabhi jo aalam-e-hayaat kaa jaan-baaz mard hai lillaah do-ghaDi ke liye dekh bhi to jaa tere mariz-e-ishq ki ab nabz sard hai 'akhtar' bataa junun-e-mohabbat hai kyaa balaa kahte hain aaj-kal ki tu sahraa-navard hai"
Akhtar MadhupuriAkhtar Madhupuri