Quote
"jabin-e-shauq pe gard-e-malaal chaahti hai miri hayaat safar kaa maaal chaahti hai main vusaton kaa talabgaar apne ishq mein huun vo meri zaat mein ik yarghamaal chaahti hai hamein khabar hai ki us mehrbaan ki chaaragari hamaare zakhmon kaa kab indimaal chaahti hai tumhaare baad miri aankh zid pe aa gai hai vahi jamaal vahi khadd-o-khaal chaahti hai ham us ke jabr kaa qissa tamaam chaahte hain aur us ki tegh hamaaraa zavaal chaahti hai hari ruton ko idhar kaa pata nahin maalum barhana shaakh abas dekh-bhaal chaahti hai"
