SHAWORDS

hazaar marhale honge junun se aage bhi — Ain Tabish

HomeAin TabishGhazal
"hazaar marhale honge junun se aage bhi base hain shahr kai sail-e-khun se aage bhi ham ek din qafas-e-jaan se baahar aae to pahunch gae falak-e-nilgun se aage bhi bikhar rahi hain darun-o-barun ki saari hadein lagaaein khema darun-o-barun se aage bhi hamein khabar hui ye shahr sone vaalaa hai so dekh aae badan ke fusun se aage bhi kabhi to jhaank le divaar-e-qahqaha se udhar kabhi to dekh le hadd-e-junun se aage bhi"
Urdu

ہزار مرحلے ہوں گے جنوں سے آگے بھی بسے ہیں شہر کئی سیل خوں سے آگے بھی ہم ایک دن قفس جاں سے باہر آئے تو پہنچ گئے فلک نیلگوں سے آگے بھی بکھر رہی ہیں درون و بروں کی ساری حدیں لگائیں خیمہ درون و بروں سے آگے بھی ہمیں خبر ہوئی یہ شہر سونے والا ہے سو دیکھ آئے بدن کے فسوں سے آگے بھی کبھی تو جھانک لے دیوار قہقہہ سے ادھر کبھی تو دیکھ لے حد جنوں سے آگے بھی

Hindi

हज़ार मरहले होंगे जुनूँ से आगे भी बसे हैं शहर कई सैल-ए-ख़ूँ से आगे भी हम एक दिन क़फ़स-ए-जाँ से बाहर आए तो पहुँच गए फ़लक-ए-नीलगूँ से आगे भी बिखर रही हैं दरून-ओ-बरूँ की सारी हदें लगाएँ ख़ेमा दरून-ओ-बरूँ से आगे भी हमें ख़बर हुई ये शहर सोने वाला है सो देख आए बदन के फ़ुसूँ से आगे भी कभी तो झाँक ले दीवार-ए-क़हक़हा से उधर कभी तो देख ले हद्द-ए-जुनूँ से आगे भी

hazār marhale hoñge junūñ se aage bhī
Ain Tabish
Ain Tabish
Ain Tabish
poet44 quotes

More by Ain Tabish

View all →
Quote
"khaaksaari thi ki bin dekhe hi ham khaak hue aur kabhi maarka-e-fath-o-zafar dekh na paae us ne dekhaa hai to phir dekhnaa kyaa ho jaae dekhte rahnaa hai zaalim ko idhar dekh na paae be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paae ho gae khvaahish-e-nazzaara se be-khud itne dekhnaa chaahte the us ko magar dekh na paae kab use lauT ke dekheinge ye dekhaa jaae ham ne duniyaa to bahut dekh li ghar dekh na paae log jab dekhne par aae to itnaa dekhaa aankh pathraa gai aur had-e-nazar dekh na paae vo bhi kyaa dekhnaa thaa dekhne vaale bole jalva har-chand rahaa pesh-e-nazar dekh na paae diip jalte rahe taaqon mein ujaalaa na huaa aankh paaband-e-tahayyur thi udhar dekh na paae ye tayaqqun nahin hotaa thaa kidhar dekh sake ye ta'ayyun nahin hotaa thaa kidhar dekh na paae vo taghaaful thaa ki us ne hamein dekhaa hi nahin vo tasaahul thaa ki ham us ki nazar dekh na paae is qadar tez chali ab ke havaa-e-naa-bud chaah kar shahr-e-tamannaa kaa khanDar dekh na paae yuun huaa dil-zadagaan lauT gae aakhir-e-shab raat to jaag ke kaaTi thi sahar dekh na paae kis ne dekhi hai ujaalon se sulagti hui raat aur jo dekh sake khvaab-e-sahar dekh na paae"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"ab to vo zamin hai na zamaana hai udhar kaa bas ham hain idhar aur fasaana hai udhar kaa jo kuchh hai muqaabil vo muqaabil kaa nahin hai jo kuchh hai mayassar vo khazaana hai udhar kaa ik jaan jo mire paas hai nazr-e-digaraan hai ik dil jo idhar hai vo divaana hai udhar kaa tu sar pe kafan baandh ke niklaa hai udhar ko ye sheva magar jaadu-garaana hai udhar kaa ai sokhta-jaan kuchh to idhar ki bhi khabar rakh ye kyaa tujhe le de ke bahaana hai udhar kaa ab aisaa tarah-daar idhar to nahin koi dastaar bataati hai gharaanaa hai udhar kaa"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"ai mire 'aks-e-ziyaan-kaar ye ji chaahtaa hai aaina toD duun is baar ye ji chaahtaa hai ji bahut chaahtaa hai toD duun sab divaarein khuub maa'lum hai be-kaar ye ji chaahtaa hai phir vahi khvaab ki taa'bir ho jis ki naapaid aur vahi dida-e-khun-baar ye ji chaahtaa hai chahl-khaana koi aur ganj-e-giraan-maaya koi raat ho darpae-aazaar ye ji chaahtaa hai dil pe jab ranj-e-giraan-baar ziyaada ho jaae khiDkiyaan khol mire yaar ye ji chaahtaa hai aisaa saudaa ho ki ham apne hi haathon bik jaaein ham hi baazaar-o-kharidaar ye ji chaahtaa hai subh hone mein bahut der agar hoti hai toD dein raat ki divaar ye ji chaahtaa hai"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"kai mausam andheri raat ke album se nikle to ham bhi haath baandhe ik hisaar-e-gham se nikle 'ajab hairat mein the khvaabon nahaae phuul chehre bhari barsaat mein jab girya-e-paiham se nikle rakhaa thaa aatish-e-sayyaal par namnaak manzar vo bas ik vahm thaa jis huzn ke 'aalam se nikle dam-e-rukhsat bahut ashkon ne ki thi chaara-saazi tilism-e-aab jaise qatra-e-zamzam se nikle sukut-e-shab mein ik hangaama barpaa ho gayaa thaa puraane kuchh dar-o-divaar jab album se nikle sukut-e-vaqt ne hangaama barpaa kar diyaa thaa puraane gumbad-o-mehraab jab album se nikle"
Ain TabishAin Tabish