"khaaksaari thi ki bin dekhe hi ham khaak hue aur kabhi maarka-e-fath-o-zafar dekh na paae us ne dekhaa hai to phir dekhnaa kyaa ho jaae dekhte rahnaa hai zaalim ko idhar dekh na paae be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paae ho gae khvaahish-e-nazzaara se be-khud itne dekhnaa chaahte the us ko magar dekh na paae kab use lauT ke dekheinge ye dekhaa jaae ham ne duniyaa to bahut dekh li ghar dekh na paae log jab dekhne par aae to itnaa dekhaa aankh pathraa gai aur had-e-nazar dekh na paae vo bhi kyaa dekhnaa thaa dekhne vaale bole jalva har-chand rahaa pesh-e-nazar dekh na paae diip jalte rahe taaqon mein ujaalaa na huaa aankh paaband-e-tahayyur thi udhar dekh na paae ye tayaqqun nahin hotaa thaa kidhar dekh sake ye ta'ayyun nahin hotaa thaa kidhar dekh na paae vo taghaaful thaa ki us ne hamein dekhaa hi nahin vo tasaahul thaa ki ham us ki nazar dekh na paae is qadar tez chali ab ke havaa-e-naa-bud chaah kar shahr-e-tamannaa kaa khanDar dekh na paae yuun huaa dil-zadagaan lauT gae aakhir-e-shab raat to jaag ke kaaTi thi sahar dekh na paae kis ne dekhi hai ujaalon se sulagti hui raat aur jo dekh sake khvaab-e-sahar dekh na paae"
ai mire 'aks-e-ziyaan-kaar ye ji chaahtaa hai — Ain Tabish
"ai mire 'aks-e-ziyaan-kaar ye ji chaahtaa hai aaina toD duun is baar ye ji chaahtaa hai ji bahut chaahtaa hai toD duun sab divaarein khuub maa'lum hai be-kaar ye ji chaahtaa hai phir vahi khvaab ki taa'bir ho jis ki naapaid aur vahi dida-e-khun-baar ye ji chaahtaa hai chahl-khaana koi aur ganj-e-giraan-maaya koi raat ho darpae-aazaar ye ji chaahtaa hai dil pe jab ranj-e-giraan-baar ziyaada ho jaae khiDkiyaan khol mire yaar ye ji chaahtaa hai aisaa saudaa ho ki ham apne hi haathon bik jaaein ham hi baazaar-o-kharidaar ye ji chaahtaa hai subh hone mein bahut der agar hoti hai toD dein raat ki divaar ye ji chaahtaa hai"
اے مرے عکس زیاں کار یہ جی چاہتا ہے آئنہ توڑ دوں اس بار یہ جی چاہتا ہے جی بہت چاہتا ہے توڑ دوں سب دیواریں خوب معلوم ہے بیکار یہ جی چاہتا ہے پھر وہی خواب کہ تعبیر ہو جس کی ناپید اور وہی دیدۂ خوں بار یہ جی چاہتا ہے چہل خانہ کوئی اور گنج گراں مایہ کوئی رات ہو درپئے آزار یہ جی چاہتا ہے دل پہ جب رنج گراں بار زیادہ ہو جائے کھڑکیاں کھول مرے یار یہ جی چاہتا ہے ایسا سودا ہو کہ ہم اپنے ہی ہاتھوں بک جائیں ہم ہی بازار و خریدار یہ جی چاہتا ہے صبح ہونے میں بہت دیر اگر ہوتی ہے توڑ دیں رات کی دیوار یہ جی چاہتا ہے
ऐ मिरे 'अक्स-ए-ज़ियाँ-कार ये जी चाहता है आइना तोड़ दूँ इस बार ये जी चाहता है जी बहुत चाहता है तोड़ दूँ सब दीवारें ख़ूब मा'लूम है बे-कार ये जी चाहता है फिर वही ख़्वाब कि ता'बीर हो जिस की नापैद और वही दीदा-ए-ख़ूँ-बार ये जी चाहता है चहल-ख़ाना कोई और गंज-ए-गिराँ-माया कोई रात हो दरपए-आज़ार ये जी चाहता है दिल पे जब रंज-ए-गिराँ-बार ज़ियादा हो जाए खिड़कियाँ खोल मिरे यार ये जी चाहता है ऐसा सौदा हो कि हम अपने ही हाथों बिक जाएँ हम ही बाज़ार-ओ-ख़रीदार ये जी चाहता है सुब्ह होने में बहुत देर अगर होती है तोड़ दें रात की दीवार ये जी चाहता है

More by Ain Tabish
View all →"ab to vo zamin hai na zamaana hai udhar kaa bas ham hain idhar aur fasaana hai udhar kaa jo kuchh hai muqaabil vo muqaabil kaa nahin hai jo kuchh hai mayassar vo khazaana hai udhar kaa ik jaan jo mire paas hai nazr-e-digaraan hai ik dil jo idhar hai vo divaana hai udhar kaa tu sar pe kafan baandh ke niklaa hai udhar ko ye sheva magar jaadu-garaana hai udhar kaa ai sokhta-jaan kuchh to idhar ki bhi khabar rakh ye kyaa tujhe le de ke bahaana hai udhar kaa ab aisaa tarah-daar idhar to nahin koi dastaar bataati hai gharaanaa hai udhar kaa"
"dariyaa-e-dil mein ashk-ravaani yahi to hai yaa'ni ki is safar ki kahaani yahi to hai yak ranj-e-intizaar tamaashaa-e-be-shumaar sad be-karaani sokhta-jaani yahi to hai aakhir ko aa ke kaund gayaa barq ki tarah harf-e-vidaa' us ki nishaani yahi to hai ik raat jaise Thahri rahegi tamaam 'umr anjaam-kaar dil pe giraani yahi to hai yaa'ni bichhaDte vaqt hamein chain aa gayaa divaar-e-ehtiyaat uThaani yahi to hai"
"ghazaal ko jaantaa hai vahshat ko jaantaa hai ye dasht teri miri mohabbat ko jaantaa hai hazaar ghar ki udaasiyon ko na jaantaa ho charaagh paagal havaa ki himmat ko jaantaa hai ye aakhir-e-shab ki hichkiyaan jaanti hain sab kuchh guzarne vaalaa khumaare-rehlat ko jaantaa hai vo aazmaaish hai jaan kar kaun jaan paae vo jaantaa hai jo vajh-e-rukhsat ko jaantaa hai ye baat ghar ki hai ahl-e-duniyaa ko kyaa khabar ho ye dil hi kuchh teri meri kulfat ko jaantaa hai"
"yahi ki 'umr ghane jangalon mein khatm hui visaal-o-hijr ki do saa'aton mein khatm hui yahin pe phuul khile the mohabbaton ke naam yahin pe raahat-e-jaan khanDaron mein khatm hui koi sabab na huaa dil-shikastagi kaa magar zaraa si baat baDe maa’rkon mein khatm hui lahu ke phuul se jo raushni sajaai gai to phir vo raushni kaise dilon mein khatm hui isi chaman kaa fasaana hai phuul vaalon ki sair to kyaa vo sair-e-chaman daldalon mein khatm hui chalo ki phir vahi bazm-e-junun pukaarti hai uTho ki khvaab ki rut vahshaton mein khatm hui"
"kai mausam andheri raat ke album se nikle to ham bhi haath baandhe ik hisaar-e-gham se nikle 'ajab hairat mein the khvaabon nahaae phuul chehre bhari barsaat mein jab girya-e-paiham se nikle rakhaa thaa aatish-e-sayyaal par namnaak manzar vo bas ik vahm thaa jis huzn ke 'aalam se nikle dam-e-rukhsat bahut ashkon ne ki thi chaara-saazi tilism-e-aab jaise qatra-e-zamzam se nikle sukut-e-shab mein ik hangaama barpaa ho gayaa thaa puraane kuchh dar-o-divaar jab album se nikle sukut-e-vaqt ne hangaama barpaa kar diyaa thaa puraane gumbad-o-mehraab jab album se nikle"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"