SHAWORDS

khudaa kare ki ye miTTi bikhar bhi jaae ab — Farooq Bakshi

HomeFarooq BakshiGhazal
"khudaa kare ki ye miTTi bikhar bhi jaae ab chaDhaa huaa hai jo dariyaa utar bhi jaae ab ye roz roz kaa milnaa bichhaDnaa khaltaa hai vo meri ruuh ke andar utar bhi jaae ab vahaan vo phuul saa chehra hai muntazar us kaa kaho ye shaair-e-aavaara ghar bhi jaae ab main apne-aap ko kab tak yunhi sameTe phirun chale vo aandhi ki sab kuchh bikhar bhi jaae ab usi ki vajh se saare vabaal hain 'faaruq' badan kaa qarz adaa ho ye sar bhi jaae ab"
Urdu

خدا کرے کہ یہ مٹی بکھر بھی جائے اب چڑھا ہوا ہے جو دریا اتر بھی جائے اب یہ روز روز کا ملنا بچھڑنا کھلتا ہے وہ میری روح کے اندر اتر بھی جائے اب وہاں وہ پھول سا چہرہ ہے منتظر اس کا کہو یہ شاعر آوارہ گھر بھی جائے اب میں اپنے آپ کو کب تک یونہی سمیٹے پھروں چلے وہ آندھی کہ سب کچھ بکھر بھی جائے اب اسی کی وجہ سے سارے وبال ہیں فاروقؔ بدن کا قرض ادا ہو یہ سر بھی جائے اب

Hindi

ख़ुदा करे कि ये मिट्टी बिखर भी जाए अब चढ़ा हुआ है जो दरिया उतर भी जाए अब ये रोज़ रोज़ का मिलना बिछड़ना खलता है वो मेरी रूह के अंदर उतर भी जाए अब वहाँ वो फूल सा चेहरा है मुंतज़र उस का कहो ये शाइर-ए-आवरा घर भी जाए अब मैं अपने-आप को कब तक यूँही समेटे फिरूँ चले वो आँधी कि सब कुछ बिखर भी जाए अब उसी की वज्ह से सारे वबाल हैं 'फ़ारूक़' बदन का क़र्ज़ अदा हो ये सर भी जाए अब

ḳhudā kare ki ye miTTī bikhar bhī jaa.e ab
Farooq Bakshi
Farooq Bakshi
Farooq Bakshi
poet14 quotes

More by Farooq Bakshi

View all →
Quote
"vo na aaegaa yahaan vo nahin aane vaalaa mujh ko tanhaai kaa ehsaas dilaane vaalaa kyaa khabar thi ki taras jaaegaa taabiron ko apni aankhon mein tire khvaab sajaane vaalaa apni tadbir ke anjaam se naa-vaaqif hai haal taqdir kaa auron ko bataane vaalaa meri rag rag mein lahu ban ke ravaan ho jaise mere saae se bhi daaman ko bachaane vaalaa kaamyaabi se bahar-haal khushi hoti hai hans rahaa hai mujhe divaana banaane vaalaa bazm ki aur hai tanhaai ki duniyaa kuchh aur raat bhar rotaa rahaa din mein hansaane vaalaa hama-tan gosh banaa detaa hai mujh ko 'faaruq' us ki baaton kaa vo andaaz lubhaane vaalaa"
Farooq BakshiFarooq Bakshi
Quote
"tamaam shahr mein us jaisaa khasta-haal na thaa magar vo shakhs ki phir bhi koi malaal na thaa ye aur baat main apni anaa mein qaid rahaa vagarna us kaa pighalnaa to kuchh muhaal na thaa bichhaD gayaa hai to ye kah ke dil ko bahlaaun vajud us kaa mire haq mein nek-faal na thaa samajh rahaa thaa muhaafiz jise main barson se mujhi ko qatl karegaa ye ehtimaal na thaa simaT gai hai sabhi ke khulus ki chaadar ye jazba pahle to is darja paaemaal na thaa khamosh sunte rahe sab amir-e-shahr kaa hukm kisi ke lab pe koi harf-e-ishtiaal na thaa"
Farooq BakshiFarooq Bakshi
Quote
"kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun ruThne vaalaa ghar aae to lafzon mein tarmim karun mujh se bichhaD kar jaane vaale itnaa to samjhaataa jaa apne aap ko do hisson mein kaise main taqsim karun ahl-e-siyaasat baanT rahe hain jaan se pyaare logon ko main shaair huun sach kahtaa huun kyuun un ki taazim karun vo bhi zamaana-saaz huaa hai tum bhi Thiik hi kahte ho meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun tujh se bichhaDnaa qismat mein thaa jiinaa to majburi hai soch rahaa huun ujDe ghar ki phir se nai taazim karun koshish to ki laakh magar kuchh baat nahin banti 'faaruq' soch rahaa huun saaraa manzar lafzon mein tajsim karun"
Farooq BakshiFarooq Bakshi