SHAWORDS

kuchh ajab saa huun sitamgar main bhi — Rauf Raza

HomeRauf RazaGhazal
"kuchh ajab saa huun sitamgar main bhi us pe khultaa huun badan bhar main bhi nai tartib se vo bhi khush hai khub-surat huun bikhar kar main bhi aa mire saath mire shahr mein aa jis se bhaag aataa huun aksar main bhi ab ye paa-posh-e-anaa kaaTti hai lo huaa apne baraabar main bhi jhilmilaa le abhi ujlat kyaa hai aur kuchh der huun chhat par main bhi"
Urdu

کچھ عجب سا ہوں ستم گر میں بھی اس پہ کھلتا ہوں بدن بھر میں بھی نئی ترتیب سے وہ بھی خوش ہے خوبصورت ہوں بکھر کر میں بھی آ مرے ساتھ مرے شہر میں آ جس سے بھاگ آتا ہوں اکثر میں بھی اب یہ پا پوش انا کاٹتی ہے لو ہوا اپنے برابر میں بھی جھلملا لے ابھی عجلت کیا ہے اور کچھ دیر ہوں چھت پر میں بھی

Hindi

कुछ अजब सा हूँ सितमगर मैं भी उस पे खुलता हूँ बदन भर मैं भी नई तरतीब से वो भी ख़ुश है ख़ूब-सूरत हूँ बिखर कर मैं भी आ मिरे साथ मिरे शहर में आ जिस से भाग आता हूँ अक्सर मैं भी अब ये पा-पोश-ए-अना काटती है लो हुआ अपने बराबर मैं भी झिलमिला ले अभी उजलत क्या है और कुछ देर हूँ छत पर मैं भी

kuchh ajab sā huuñ sitamgar maiñ bhī
Rauf Raza
Rauf Raza
Rauf Raza
poet64 quotes

More by Rauf Raza

View all →
Quote
"har mausam mein khaali-pan ki majburi ho jaaoge itnaa us ko yaad kiyaa to patthar bhi ho jaaoge hanste bhi ho rote bhi ho aaj talak to aisaa hai jab ye mausam saath na deinge tasviri ho jaaoge har aane jaane vaale se ghar kaa rasta puchhte ho khud ko dhokaa dete dete be-ghar bhi ho jaaoge jiinaa marnaa kyaa hotaa hai ham to us din puchheinge jis din miTTi ke haathon ki tum mehndi ho jaaoge chhoTi chhoTi baaton ko bhi itnaa sajaa kar likhte ho aise hi tahrir rahi to baazaari ho jaaoge"
Rauf RazaRauf Raza
Quote
"naashte par jise aazaad kiyaa hai main ne dopahar ke liye irshaad kiyaa hai main ne ai mire dil tiri hasti nazar aati thi kahaan tu kahaan thaa tujhe ijaad kiyaa hai main ne phuul hi phuul hain taa-hadd-e-nazar phuul hi phuul is kharaabe ke liye yaad kiyaa hai main ne saare asbaab vahaan rakkhe hain darvaaze ke paas teri jaagir ko aabaad kiyaa hai main ne khaas mauqon pe jhalak apni dikhaa sakte hain jin ko sanjida-e-fariyaad kiyaa hai main ne aaj vo bhuul sudhaarun to sudhaarun kaise us ko rukhsat ba-dil-e-shaad kiyaa hai main ne dilli vaalon ki zabaan mein jise dil kahte hain surkh angaar thaa barbaad kiyaa hai main ne"
Rauf RazaRauf Raza
Quote
"koi zakhm khulaa to sahne lage koi Tiis uThi lahraane lage ye kis ki duaa kaa faiz huaa ham kyaa kyaa kaam dikhaane lage dil-e-zaar usi basti mein chal tire naam ki sarson phuli hai chaandi ki saDak par chalte hue ab paanv tire kumhlaane lage koi Duub gayaa to kyaa Duubaa koi paar utraa to kyaa utraa par kyaa kahiye dil dariyaa ki jo paanv dhare itraane lage abhi shaam zaraa si mahki hai par kyaa kahiye kyaa jaldi hai abhi raat paDaav bhi aage hai aur khvaab bulaave aane lage tum kaun se 'haafiz' o 'ghaalib' ho tum 'mir' 'kabir' kahaan ke ho tumhein pahlaa sabaq bhi yaad nahin aur fankaari dikhlaane lage"
Rauf RazaRauf Raza
Quote
"ye miri ruuh siyah raat mein nikli hai kahaan badan-e-ishq se aage koi basti hai kahaan tum ne nazraane guzaare the kahaan baanT diye saath jo umr gizaari thi vo rakh di hai kahaan mere aasaab pe lahraati hui shaakh-e-gulaab aaj vo haath hilaati hui laDki hai kahaan ek hi chaand ko taktaa huaa be-naam paDos ek hi chaand dikhaati hui khiDki hai kahaan nafa o nuqsaan se munh moDe hue baiThi hai meri maghrur tamannaa miri sunti hai kahaan pahle sar ki ye shikaayat thi falak unchaa hai ab mire paanv ye kahte hain ki dharti hai kahaan"
Rauf RazaRauf Raza