Quote
"dekh kar dar-parda garm-e-daaman-afshaani mujhe kar gai vaabasta-e-tan meri uryaani mujhe ban gayaa tegh-e-nigaah-e-yaar kaa sang-e-fasaan marhabaa main kyaa mubaarak hai giraan-jaani mujhe kyuun na ho be-iltifaati us ki khaatir jama hai jaantaa hai mahv-e-pursish-haa-e-pinhaani mujhe mere gham-khaane ki qismat jab raqam hone lagi likh diyaa min-jumla-e-asbaab-e-viraani mujhe bad-gumaan hotaa hai vo kaafir na hotaa kaash ke is qadar zauq-e-navaa-e-murgh-e-bustaani mujhe vaae vaan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diyaa le gayaa thaa gor mein zauq-e-tan-aasaani mujhe vaada aane kaa vafaa kiije ye kyaa andaaz hai tum ne kyuun saunpi hai mere ghar ki darbaani mujhe haan nashaat-e-aamad-e-fasl-e-bahaari vaah vaah phir huaa hai taaza saudaa-e-ghazal-khvaani mujhe di mire bhaai ko haq ne az-sar-e-nau zindagi mirzaa yusuf hai 'ghaalib' yusuf-e-saani mujhe"
