"raushni se kis tarah pardaa kareinge aakhir-e-shab sochte hain kyaa kareinge vo sunahri dhuup ab chhat par nahin hai ham bhi aaine ko ab andhaa kareinge jism ke andar jo suraj tap rahaa hai khuun ban jaae to phir ThanDaa kareinge ghar se vo nikle to bus-stand tak hi us kaa saaya ban ke ham pichhaa kareinge aankh pathraa jaaegi ye jaante hain phir bhi is manzar mein ham khoyaa kareinge"
sochte rahne se kyaa qismat kaa likkhaa jaaegaa — Farrukh Jafari
"sochte rahne se kyaa qismat kaa likkhaa jaaegaa jo bhi honaa thaa huaa jo hogaa dekhaa jaaegaa shahr ki sarhad talak pahunchaa ke sab rukhsat hue ab yahaan se bas mire ham-raah sahraa jaaegaa ab koi divaar us ke saamne rukti nahin sail-e-girya ab mire roke na rokaa jaaegaa kyaa miri aankhon se duniyaa khud ko dekhegi kabhi kyaa kabhi meri tarah ik roz sochaa jaaegaa jaan ki baazi lagaa deni hai 'farrukh' ab ki baar tab kahin jaa kar ye aae din kaa jhagDaa jaaegaa"
سوچتے رہنے سے کیا قسمت کا لکھا جائے گا جو بھی ہونا تھا ہوا جو ہوگا دیکھا جائے گا شہر کی سرحد تلک پہنچا کے سب رخصت ہوئے اب یہاں سے بس مرے ہمراہ صحرا جائے گا اب کوئی دیوار اس کے سامنے رکتی نہیں سیل گریہ اب مرے روکے نہ روکا جائے گا کیا مری آنکھوں سے دنیا خود کو دیکھے گی کبھی کیا کبھی میری طرح اک روز سوچا جائے گا جان کی بازی لگا دینی ہے فرخؔ اب کی بار تب کہیں جا کر یہ آئے دن کا جھگڑا جائے گا
सोचते रहने से क्या क़िस्मत का लिक्खा जाएगा जो भी होना था हुआ जो होगा देखा जाएगा शहर की सरहद तलक पहुँचा के सब रुख़्सत हुए अब यहाँ से बस मिरे हम-राह सहरा जाएगा अब कोई दीवार उस के सामने रुकती नहीं सैल-ए-गिर्या अब मिरे रोके न रोका जाएगा क्या मिरी आँखों से दुनिया ख़ुद को देखेगी कभी क्या कभी मेरी तरह इक रोज़ सोचा जाएगा जान की बाज़ी लगा देनी है 'फ़र्रुख़' अब की बार तब कहीं जा कर ये आए दिन का झगड़ा जाएगा

More by Farrukh Jafari
View all →"kisi bahaane bhi dil se alam nahin jaataa khushi to jaane ko aati hai gham nahin jaataa kisi ko milnaa ho us se to khud hi chal kar jaae ki apne aap kahin vo sanam nahin jaataa nishaana us kaa hamesha nishaan pe lagtaa hai go dil ke paar vo tir-e-sitam nahin jaataa ham apne daaera-e-kaar hi mein rahte hain nikal ke us se ye baahar qadam nahin jaataa yahi bahut hai ki qaabu mein ashk rahte hain ye aur baat ki palkon se nam nahin jaataa"
"dil ki ye aag bujhaa di kis ne bhige daaman ki havaa di kis ne baiTh jaataa thaa main jis se lag kar vahi divaar giraa di kis ne meri aavaaz pe bolaa na koi chal paDaa main to sadaa di kis ne ab takaanon kaa safar hai main huun aankh se niind uDaa di kis ne apne hi haath se 'farrukh' mujh ko zahr piine ki sazaa di kis ne"
"masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karein darmiyaan ke faasle kaa tai safar kaise karein koi suntaa hi nahin arz-e-hunar kaise karein khud ko ham apni nazar mein mo'tabar kaise karein aakhiri patthar se be-samt-o-nishaan jaanaa hai ab ham khuli aankhon se ye andhaa safar kaise karein jaan ke jaane kaa andesha bahut hai ab ki baar maarka bhi aakhiri karnaa hai sar kaise karein kuchh dinon ki baat ho to kaaT dein aankhon mein raat niind agar aae na 'farrukh' umr bhar kaise karein"
"thaa abas khauf ki aaseb-e-gumaan main hi thaa mujh mein saaya saa koi aur kahaan main hi thaa sab ne dekhaa thaa kuchh uThtaa huaa mere ghar se phailtaa aur bikhartaa vo dhuaan main hi thaa sach thaa vo zahr gavaaraa hi kisi ko na huaa talkhi-e-zaaiqa-e-kaam-o-ziyaan main hi thaa khud hi pyaasaa thaa bhalaa pyaas bujhaataa kis ki sar pe suraj ko liye abr-e-ravaan main hi thaa dar pe ik qufl-e-pur-asraar paDaa thaa 'farrukh' bhed khultaa bhi to kaise ki makaan main hi thaa"
"ab ke junun huaa to garebaan ko phaaD kar duniyaa ko chhoD jaaungaa daaman ko jhaaD kar ye aaina fareb-e-nazar hai bahut na dekh ik roz tujh ko pesh karegaa bigaaD kar mehmaan saraae-jaan mein koi Thertaa nahin jab se chalaa gayaa use koi ujaaD kar 'farrukh' havaa hai tez qadam ko jamaa ke rakh varna ye pheink degi tujhe bhi ukhaaD kar"