SHAWORDS

teraa sitam jo mujh se gadaa ne sahaa sahaa — Bayan Ahsanullah Khan

"teraa sitam jo mujh se gadaa ne sahaa sahaa tu baadshah hai jo mujhe tu ne kahaa kahaa daaman tere se lag luun agar de razaa mujhe ye naa-tavaan ghubaar agar yaan rahaa rahaa rakh aastin shitaab miri chashm-e-tar pe jaan varna phire hai sail mein aalam bahaa bahaa nikle hai laala khaak ke niche se surkh surkh rangin huaa shahidon ke khuun mein nahaa nahaa ab ji ke Dar se us ko 'bayaan' tu na chhoDiyo hain mard ve ki baanh ko jis ki gahaa gahaa"
Urdu

تیرا ستم جو مجھ سے گدا نے سہا سہا تو بادشہ ہے جو مجھے تو نے کہا کہا دامن تیرے سے لگ لوں اگر دے رضا مجھے یہ ناتواں غبار اگر یاں رہا رہا رکھ آستیں شتاب مری چشم تر پہ جاں ورنہ پھرے ہے سیل میں عالم بہا بہا نکلے ہے لالہ خاک کے نیچے سے سرخ سرخ رنگیں ہوا شہیدوں کے خوں میں نہا نہا اب جی کے ڈر سے اس کو بیاںؔ تو نہ چھوڑیو ہیں مرد وے کہ بانھ کو جس کی گہا گہا

Hindi

तेरा सितम जो मुझ से गदा ने सहा सहा तू बादशह है जो मुझे तू ने कहा कहा दामन तेरे से लग लूँ अगर दे रज़ा मुझे ये ना-तवाँ ग़ुबार अगर याँ रहा रहा रख आस्तीं शिताब मिरी चश्म-ए-तर पे जाँ वर्ना फिरे है सैल में आलम बहा बहा निकले है लाला ख़ाक के नीचे से सुर्ख़ सुर्ख़ रंगीं हुआ शहीदों के ख़ूँ में नहा नहा अब जी के डर से उस को 'बयाँ' तू न छोड़ियो हैं मर्द वे कि बाँह को जिस की गहा गहा

terā sitam jo mujh se gadā ne sahā sahā
B
Bayan Ahsanullah Khan
Bayan Ahsanullah Khan
poet25 quotes

More by Bayan Ahsanullah Khan

View all →
Quote
"le ke dil us shokh ne ik daagh siine par diyaa jo liyaa us kaa evaz us se mujhe behtar diyaa duur tujh se saaghar-e-mai par nazar main ne jo ki kaasa apnaa chashm ne khunaab-e-dil se bhar diyaa jo suluk ab dil mein aavein kar mujhe taqdir ne dast o baazu baandh kar tere havaale kar diyaa dilbaron ke shahr mein begaanagi andher hai aashnaai DhunDtaa phirtaa huun main le kar diyaa baaze hi auqaat raahat ham ko di hai charkh ne ranj o gham hi us sitamgar ne 'bayaan' aksar diyaa"
B
Bayan Ahsanullah Khan