Quote
"apne sab daftar ke saathi yaar hamaaraa koi nahin kursi mez kaa un se rishta dil kaa rishta koi nahin dar pe mire vo jab tak pahunchaa khul gae raah ke darvaaze main ne sochaa thaa ki yahaan par us kaa shanaasaa koi nahin vo bhi achchhe aap bhi achchhe kaun buraa hai lekin haan jo ham ko achchhaa kahtaa hai us se achchhaa koi nahin aao zaraa chal kar to dekhein kaun hain ye kaise hain log ik muddat se is basti mein aataa jaataa koi nahin raat havaa kuchh tez thi shaayad bol rahe the darvaaze puchhte kyon ho kaun aayaa thaa kaun aayaa thaa koi nahin ghar ko to hamsaae ne chhinaa saae ban ke rahe 'kaazim' khat kaa javaab na tum ab denaa apnaa Thikaanaa koi nahin"
