SHAWORDS

usi jannat jahannam mein marungaa — Ejaz Gul

HomeEjaz GulGhazal
"usi jannat jahannam mein marungaa gae mausam ko aavaazein na dungaa nae jismon se maqtal jaagte hain nae logon ke raste par chalungaa miri aankhein salaamat hain to phir main paraae khvaab le kar kyaa karungaa lahu ki surkhiyaan mere alam hain khizaan ke zard lashkar se laDungaa kisi khitte mein qatl-e-raushni ho main apne shahr par nauha kahungaa aur us par jo sitam TuTegaa us ko tumhaare naam likkhungaa sahungaa"
Urdu

اسی جنت جہنم میں مروں گا گئے موسم کو آوازیں نہ دوں گا نئے جسموں سے مقتل جاگتے ہیں نئے لوگوں کے رستے پر چلوں گا مری آنکھیں سلامت ہیں تو پھر میں پرائے خواب لے کر کیا کروں گا لہو کی سرخیاں میرے علم ہیں خزاں کے زرد لشکر سے لڑوں گا کسی خطے میں قتل روشنی ہو میں اپنے شہر پر نوحہ کہوں گا اور اس پر جو ستم ٹوٹے گا اس کو تمہارے نام لکھوں گا سہوں گا

Hindi

उसी जन्नत जहन्नम में मरूँगा गए मौसम को आवाज़ें न दूँगा नए जिस्मों से मक़्तल जागते हैं नए लोगों के रस्ते पर चलूँगा मिरी आँखें सलामत हैं तो फिर मैं पराए ख़्वाब ले कर क्या करूँगा लहू की सुर्ख़ियाँ मेरे अलम हैं ख़िज़ाँ के ज़र्द लश्कर से लड़ूँगा किसी ख़ित्ते में क़त्ल-ए-रौशनी हो मैं अपने शहर पर नौहा कहूँगा और उस पर जो सितम टूटेगा उस को तुम्हारे नाम लिक्खूंगा सहूँगा

usī jannat jahannam meñ marūñgā
Ejaz Gul
Ejaz Gul
Ejaz Gul
poet53 quotes

More by Ejaz Gul

View all →
Quote
"tham gai vaqt ki raftaar tire kuche mein aise saabit huaa sayyaar tire kuche mein manzar-e-baam sar-e-did nahin khultaa hai kuchh hai naa-dida kaa asraar tire kuche mein har talabgaar ko hai haasil-e-guftaar-e-sukut na hai inkaar na iqraar tire kuche mein aaina shaam kaa raushan rukh-e-mahtaab se kar aks chamke to ho didaar tire kuche mein vaslat-e-kaar baham ho ki hain jama din raat pesha-e-hijr ke be car tire kuche mein nafaa ke khel mein samjhaa gayaa thaa taaq jise vo khasaare mein hai hoshyaar tire kuche mein aakhir-e-umr ne ki raunaq-e-baazaar tamaam na dukaan hai na kharidaar tire kuche mein ek muddat se hai tartib mein be-tartibi na durusti ke hain aasaar tire kuche mein"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"ham tum jab bhi pyaar kareinge jaan-o-dil sadqe honge ruhon ki khushbu mein hongi baahon ke gajre honge peshravo tum biit chuke ab ham logon ki baari hai zindaanon ke dar to vaa hon ham aage aage honge gumnaami ki galiyon mein taarikh kahaan tak pahunchegi ek tumhi suqraat nahin ho aur bahut guzre honge husn agar zanjir kiyaa hai ishq bhi phir zanjir karo varna baat bahut phailegi duur talak charche honge ai chakvaal se aane vaalo kuchh to haal-ahvaal kaho phuul se aariz chaand se chehre tum ne bhi dekhe honge"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"pechaak-e-umr apne sanvaar aaine ke saath baaqi ke chaar din bhi guzaar aaine ke saath haasid bahut hai pal mein huvaidaa kare khizaan itnaa na lag ke baiTh bahaar aaine ke saath pathraa gae hain log tajalli se husn ki thoDaa saa Daal rukh pe ghubaar aaine ke saath kartaa hai aks zer-o-zabar naa-muraad vaqt jab ghumtaa hai ulTe madaar aaine ke saath paayaa na kuchh khalaa ke sivaa aks-e-hairati guzraa thaa aar-paar hazaar aaine ke saath maadum ho rahe hain khad-o-khaal kis sabab guft-o-shunid kar mire yaar aaine ke saath viraan saa khanDar hai magar sair ke liye lagti hai ik tavil qataar aaine ke saath maakus o aks kaise hain paivast dekh tu aaina kar rahaa hai singhaar aaine ke saath"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"DhunDhtaa huun roz-o-shab kaun se jahaan mein hai ik makaan ki raushan saa basti-e-gumaan mein hai sust-rau musaafir ki qismaton pe kyaa ronaa tez chalne vaalaa bhi dasht-e-be-amaan mein hai khush bahut na ho sun kar saahilon kaa aavaaza ik fasil paani ki aur darmiyaan mein hai lauTne nahin detaa ye tilism raston kaa jaantaa huun main varna sukh bahut makaan mein hai raaz kuchh nahin khultaa is ajab nagar kaa yaan suud mein na thaa din bhi raat bhi ziyaan mein hai dekhtaa nahin hai kyaa saat aasmaan vaalaa kaun dhuup ke andar kaun saaebaan mein hai"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"istaada hai jab saamne divaar kahun kyaa haasil bhi nahin rauzan-e-darkaar kahun kyaa lagtaa to hai kuchh diid ko naa-did ke pichhe khultaa nahin manzar koi us paar kahun kyaa huun tang zaraa jeb se ai hasrat-e-ashyaa shaamil to hai fahrist mein baazaar kahun kyaa jis baat ke inkaar kaa had-darja gumaan hai vo baat yaqin ke liye sau baar kahun kyaa main un ke javaabaat se aur ahl-e-zamaana hain mere savaalaat se bezaar kahun kyaa jis baat pe thi bahs hui bahs se khaarij ab rah gai aapas mein hai takraar kahun kyaa ham-saae ki ham-saae se pahchaan nahin hai paivast hai divaar mein divaar kahun kyaa ghaafil nahin aisaa bhi main ab apni rasad se is dil mein talab kaa hai jo ambaar kahun kyaa gulzaar saa khil uThtaa hai khushbu-e-sukhan se jaadu hai vo is kaa dam-e-guftaar kahun kyaa hai rang badan kaa lughat-e-rang mein naapaid laa-saani hai qaamat mein qad-e-yaar kahun kyaa"
Ejaz GulEjaz Gul