SHAWORDS

vo chup thaa dida-e-nam bolte the — Bharat Bhushan Pant

"vo chup thaa dida-e-nam bolte the ki us ke chehre se gham bolte the sabab khaamoshiyon kaa main nahin thaa mire ghar mein sabhi kam bolte the yahi jo shahr kaa hai aaj markaz yahaan sannaaTe paiham bolte the taraste hain usi tanhaai ko ham koi suntaa thaa aur ham bolte the koi bhi ghar mein jab hotaa nahin thaa dar-o-divaar baaham bolte the unhin se bolnaa sikhaa thaa ham ne vahi jo bazm mein kam bolte the"
Urdu

وہ چپ تھا دیدۂ نم بولتے تھے کہ اس کے چہرے سے غم بولتے تھے سبب خاموشیوں کا میں نہیں تھا مرے گھر میں سبھی کم بولتے تھے یہی جو شہر کا ہے آج مرکز یہاں سناٹے پیہم بولتے تھے ترستے ہیں اسی تنہائی کو ہم کوئی سنتا تھا اور ہم بولتے تھے کوئی بھی گھر میں جب ہوتا نہیں تھا در و دیوار باہم بولتے تھے انہیں سے بولنا سیکھا تھا ہم نے وہی جو بزم میں کم بولتے تھے

Hindi

वो चुप था दीदा-ए-नम बोलते थे कि उस के चेहरे से ग़म बोलते थे सबब ख़ामोशियों का मैं नहीं था मिरे घर में सभी कम बोलते थे यही जो शहर का है आज मरकज़ यहाँ सन्नाटे पैहम बोलते थे तरसते हैं उसी तन्हाई को हम कोई सुनता था और हम बोलते थे कोई भी घर में जब होता नहीं था दर-ओ-दीवार बाहम बोलते थे उन्हीं से बोलना सीखा था हम ने वही जो बज़्म में कम बोलते थे

vo chup thā dīda-e-nam bolte the
Bharat Bhushan Pant
Bharat Bhushan Pant
Bharat Bhushan Pant
poet76 quotes

More by Bharat Bhushan Pant

View all →
Quote
"kabhi sukun kabhi sabr-o-qaraar TuTegaa agar ye dil hai to phir baar baar TuTegaa vo apne zarf se baDh kar bharaa huaa baadal ye dekhnaa kahin be-ikhtiyaar TuTegaa vo ek pal bhi kisi roz aa hi jaaegaa ki jab ye zindagi par e'tibaar TuTegaa vagarna chaltaa rahegaa ye silsila yuun hi main TuuT jaaun tabhi intishaar TuTegaa phir ek baar ghalat niklaa ye qayaas miraa giraa chaTaan pe to aabshaar TuTegaa tire zavaal ki manzil abhi nahin aai nasha to TuuT chukaa ab khumaar TuTegaa isi khayaal se shaayad Daraa huaa hai saaz agar ye raag na TuuTaa to taar TuTegaa koi udaas saa naghma hi gungunaaein ham tabhi tilsim-e-shab-e-intizaar TuTegaa"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant
Quote
"mustaqil rone se dil ki be-kali baDh jaaegi baarishein hoti rahin to ye nadi baDh jaaegi ishq ki raahon mein haael ho rahi hai aagahi ab junun baDh jaaegaa divaangi baDh jaaegi har ghaDi teraa tasavvur har nafas teraa khayaal is tarah to aur bhi teri kami baDh jaaegi ho sake to is hisaar-e-zaat se baahar nikal habs mein rahne se vahshat aur bhi baDh jaaegi us ne suraj ke muqaabil rakh diye apne charaagh vo ye samjhaa is tarah kuchh raushni baDh jaaegi ishq ke tanhaa safar mein koi saaya DhunD le dhuup mein chaltaa rahaa to tishnagi baDh jaaegi tu hamesha maangtaa rahtaa hai kyuun gham se najaat gham nahin honge to kyaa teri khushi baDh jaaegi ho sake to ham pe zaahir kar de apne dil kaa haal sochte rahne se to sanjidgi baDh jaaegi apni tanhaai mein kis se guftugu kartaa hai tu in sadaaon se to shab ki khaamushi baDh jaaegi kyaa pata thaa raat bhar yuun jaagnaa paD jaaegaa ik diyaa bujhte hi itni tirgi baDh jaaegi"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant
Quote
"samundaron ko bhi dariyaa samajh rahe hain ham ye apne-aap ko ab kyaa samajh rahe hain ham hamaari raah mein haael jo ik andheraa hai use bhi apnaa hi saaya samajh rahe hain ham yahin talak hai rasaai hamaari aankhon ki ki khadd-o-khaal ko chehra samajh rahe hain ham hamaari baat kisi ki samajh mein kyuun aati khud apni baat ko kitnaa samajh rahe hain ham ab apne dard ko sahnaa bahut hi mushkil hai zaraa hai zakhm ko gahraa samajh rahe hain ham abhi fuzul hai manzil ki baat bhi karnaa abhi to logon se rastaa samajh rahe hain ham bas ek raat Thaharne kaa ye natija hai saraa-e-faani ko duniyaa samajh rahe hain ham"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant
Quote
"kab talak chalnaa hai yuun hi ham-safar se baat kar manzilein kab tak mileingi rahguzar se baat kar tujh ko mil jaaegaa tere sab savaalon kaa javaab kashtiyaan kyuun Duub jaati hain bhanvar se baat kar kab talak chhuptaa rahegaa yuun hi apne-aap se aaine ke ru-ba-ru aa apne Dar se baat kar baDh chuki hain ab tiri fikr-o-nazar ki vusatein jugnuon ko chhoD ab shams o qamar se baat kar is tarah to aur bhi teri ghuTan baDh jaaegi ham-navaa koi nahin to baam-o-dar se baat kar dard kyaa hai ye samajhnaa hai to apne dil se puchh aansuon ki baat hai to chashm-e-tar se baat kar har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liyaa dekhnaa kyaa chaahti hai ab nazar se baat kar dhuup kaise saae mein tabdil hoti hai yahaan is hunar ko sikhnaa hai to shajar se baat kar zakhm poshida rahaa to dard baDhtaa jaaegaa be-takalluf ho ke apne chaara-gar se baat kar"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant
Quote
"ishq kaa rog to virse mein milaa thaa mujh ko dil dhaDaktaa huaa siine mein milaa thaa mujh ko haan ye kaafir usi hujre mein milaa thaa mujh ko ek momin jahaan sajde mein milaa thaa mujh ko us ko bhi meri tarah apni vafaa par thaa yaqin vo bhi shaayad isi dhoke mein milaa thaa mujh ko us ne hi bazm ke aadaab sikhaae the mujhe vo jo ik shakhs akele mein milaa thaa mujh ko manzil-e-hosh pe ik main hi nahin thaa tanhaa yaan to har shakhs hi nashshe mein milaa thaa mujh ko ye bhi ik aib thaa meri hi nazar kaa shaayad roz kuchh farq saa chehre mein milaa thaa mujh ko aise haalaat mein kyaa us se gilaa kartaa main raat suraj bhi andhere mein milaa thaa mujh ko main agar Duub na jaataa to vahaan kyaa kartaa ik samundar thaa jo qatre mein milaa thaa mujh ko ruuh ki pyaas bujhaanaa koi aasaan na thaa saaf paani baDe gahre mein milaa thaa mujh ko sach to ye hai ki yahaan koi bhi manzil hi na thi vo bhi rasta thaa jo raste mein milaa thaa mujh ko"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant
Quote
"miri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai kahaan tanhaai ghar ki ab kisi se baat karti hai hamesha us ki baaton mein andheron kaa vahi ronaa ye shab jab bhi diye ki raushni se baat karti hai main jab maayus ho kar raaste mein baiTh jaataa huun to har manzil miri aavaargi se baat karti hai sukut-e-shab mein jab saare musaafir soe hote hain unhin lamhaat mein kashti nadi se baat karti hai kabhi chup chaap taariki ki chaadar oDh leti hai kabhi vo jhiil shab bhar chaandni se baat karti hai dayaar-e-zaat mein us vaqt jab main bhi nahin hotaa koi aavaaz meri khaamushi se baat karti hai hamesha us ke chehre par ajab saa khauf rahtaa hai kabhi jab maut meri zindagi se baat karti hai"
Bharat Bhushan PantBharat Bhushan Pant