SHAWORDS

ye mantar bhi puraane jaam-e-jam bhi — Faisal Azeem

HomeFaisal AzeemGhazal
"ye mantar bhi puraane jaam-e-jam bhi bahut dekhe hain ye naqsh-e-qadam bhi ye naaTak ho rahe hain muddaton se kahaan tak taaliyaan piTeinge ham bhi nae sajde nai hain sajda-gaahein rakhe jaaeinge bosida sanam bhi abhi parde uTheinge dekh lenaa nazar aaeinge pas-manzar mein ham bhi"
Urdu

یہ منتر بھی پرانے جام جم بھی بہت دیکھے ہیں یہ نقش قدم بھی یہ ناٹک ہو رہے ہیں مدتوں سے کہاں تک تالیاں پیٹیں گے ہم بھی نئے سجدے نئی ہیں سجدہ گاہیں رکھے جائیں گے بوسیدہ صنم بھی ابھی پردے اٹھیں گے دیکھ لینا نظر آئیں گے پس منظر میں ہم بھی

Hindi

ये मंतर भी पुराने जाम-ए-जम भी बहुत देखे हैं ये नक़्श-ए-क़दम भी ये नाटक हो रहे हैं मुद्दतों से कहाँ तक तालियाँ पीटेंगे हम भी नए सज्दे नई हैं सज्दा-गाहें रखे जाएँगे बोसीदा सनम भी अभी पर्दे उठेंगे देख लेना नज़र आएँगे पस-मंज़र में हम भी

ye mantar bhī purāne jām-e-jam bhī
Faisal Azeem
Faisal Azeem
Faisal Azeem
poet17 quotes

More by Faisal Azeem

View all →
Quote
"jise kal raat bhar puujaa gayaa thaa vo but kyuun subh ko TuuTaa huaa thaa agar sach ki haqiqat ab khuli hai to jo ab tak nazar aayaa thaa kyaa thaa agar ye talkhiyon ki ibtidaa hai to ab tak kaun saa amrit piyaa thaa khulaa hai mujh pe ab duniyaa kaa matlab magar ye raaz pahle bhi khulaa thaa main jis mein huun ye duniyaa mukhtalif hai jahaan main thaa vo aalam dusraa thaa main khud ko maar kar pahunchaa yahaan tak to yaad aayaa ki main to mar chukaa thaa miri main aur tiri main donon haarin main banda huun magar tu to khudaa thaa main ab jo munh chhupaae phir rahaa huun to kyaa main vaaqai chehra-numaa thaa"
Faisal AzeemFaisal Azeem
Quote
"use maalum hai sab kuchh vahi hai raaz-daan apnaa magar mujh se hi sunnaa chaahtaa hai vo bayaan apnaa yahaan par shaan jaati hai vahaan par jaan jaati hai zamin chhuTi to lagtaa hai ki chhuTaa aasmaan apnaa jo guzraa hai so guzraa hai jo aaegaa so aaegaa jo ab hai vo bhalaa kab hai koi lamha kahaan apnaa main jis ke dil mein rahtaa huun main jis ki dhun mein raqsaan huun vo apni dhun pe gaataa hai to hotaa hai gumaan apnaa vahaan khaamosh baiThe the yahaan to baat karte hain vahaan kyuun thaa ziyaan apnaa yahaan kyon ho ziyaan apnaa ye sadiyaan biit jaati hain magar lamhe nahin kaTte jo ghaTtaa hai to baDh jaataa hai kuchh baar-e-garaan apnaa"
Faisal AzeemFaisal Azeem
Quote
"dil par dhaDkan dhaDkan par vahm utaare jaate hain ham apne hi khauf ke haathon maare jaate hain dekhun to aaine kaa zangaar sulagtaa hai band karun to aankhon ke angaare jaate hain DhunD rahe hain kab se apne lahje kaa tiryaak lafz hamaare ham par hi phunkaare jaate hain nae parinde nai uDaanein nai sahar ke giit bedaaron par raushan khvaab utaare jaate hain aadarshon ki Daar kaa pichhaa karte galla-baan apne khvaabon ki sarhad par maare jaate hain daad-faroshi kaasa-lesi baar-e-shanaasaai mahfil mahfil kyaa kyaa qarz utaare jaate hain"
Faisal AzeemFaisal Azeem
Quote
"palkein niind se bojhal hain yaa ab manzar ki taab nahin kyon in jalti aankhon mein ab rang-birange khvaab nahin ik muddat se kis naatiq ki nok-e-zabaan par aTkaa huun main ik lafz huun goyaa vo bhi maani se sairaab nahin aankhein hain yaa khaar-e-mughilaan chehra hai yaa sahraa hai lafz bahut naayaab hain pyaare dard magar naayaab nahin meri balaa se jhukne vaalon mein maabud bhi shaamil hon lekin mere sajdon mein but-khaane ke aadaab nahin fitrat kaa paighambar kyaa jaane samjhaute ki baatein dariyaa muD sakte hain lekin dariyaa ke sailaab nahin aankhein aur chuneingi kab tak aakhir manzar ki kirchein mujh mein to ab jaise apni nazron ki bhi taab nahin"
Faisal AzeemFaisal Azeem
Quote
"bhari hai aag jebon mein kaf-e-afsos malte hain hamaari hi kamaai se hamaare haath jalte hain mire atraaf mein ye khinchaa-taani kam nahin hoti idhar pahlu badaltaa huun udhar jaale badalte hain kisi ko bhi vo angaara dikhaai hi nahin detaa ishaare se bataataa huun to apne haath jalte hain main apne jism se baahar huun yaa ruhon kaa maskan hai unhein main chhu nahin paataa jo mere saath chalte hain hamaare chaak par uqbaa kai shaklein badalti hai ye jannat aur jahannum to hamaare saath chalte hain nazar-andaaz karke sab guzar jaate hain mujh mein se nafi karte hue mujh mein kai raste nikalte hain sadaa ban kar bahut Takraae hain minaar-o-gumbad se ab aankhein khul gai hain to andhere se nikalte hain"
Faisal AzeemFaisal Azeem