SHAWORDS

zaraa main apni palkon ko bhigo luun — Anil Sharma Tanha

"zaraa main apni palkon ko bhigo luun agar milte ho to main kuchh to so luun kami koshish mein ab tak ki nahin hai zaraa khul jaaun to par apne tolun saliqa mujh ko itnaa bhi nahin hai bataao tum ki main ab kis se bolun siyaasat ne diye hain zakhm itne main 'tanhaa' huun magar in ko to Dho luun"
Urdu

ذرا میں اپنی پلکوں کو بھگو لوں اگر ملتے ہو تو میں کچھ تو سو لوں کمی کوشش میں اب تک کی نہیں ہے ذرا کھل جاؤں تو پر اپنے تولوں سلیقہ مجھ کو اتنا بھی نہیں ہے بتاؤ تم کہ میں اب کس سے بولوں سیاست نے دئے ہیں زخم اتنے میں تنہاؔ ہوں مگر ان کو تو ڈھو لوں

Hindi

ज़रा मैं अपनी पलकों को भिगो लूँ अगर मिलते हो तो मैं कुछ तो सो लूँ कमी कोशिश में अब तक की नहीं है ज़रा खुल जाऊँ तो पर अपने तोलूँ सलीक़ा मुझ को इतना भी नहीं है बताओ तुम कि मैं अब किस से बोलूँ सियासत ने दिए हैं ज़ख़्म इतने मैं 'तन्हा' हूँ मगर इन को तो ढो लूँ

zarā maiñ apnī palkoñ ko bhigo luuñ
Anil Sharma Tanha
Anil Sharma Tanha
Anil Sharma Tanha
poet13 quotes

More by Anil Sharma Tanha

View all →
Quote
"bahut sukun thaa gham thaa mire fasaane mein ye shisha Tuut gayaa dekhne dikhaane mein ye sach hamaare sahaare se chal nahin paayaa tabhi to Tuut gayaa jhuuT ik bahaane mein bahut ghurur thaa in bijliyon ko apne par shikast khaa gai phir bhi is aashiyaane mein hamaare daur mein insaaniyat bhi bebas hai bahut sukun hai phir bhi sharaab-khaane mein bahaarein DhunDh rahi thiin Thikaane gulshan mein juTi thiin titliyaan maahaul ik banaane mein vo baat jis kaa zamaane mein koi zikr nahin vo baat aa gai kaise mire fasaane mein hamaare baa'd hamein DhunDhne chali duniyaa hamaaraa koi badal hi nahin zamaane mein hamaare sach ko koi raasta nahin detaa ye phaT na jaae kahin oDhne bichhaane mein chalo sukun se bad-naamiyaan hi tai kar lein isi hujum ke tum bhi to ho nishaane mein"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"saath ab un ke shaam-o-sahar jaaeinge vo akele nahin apne ghar jaaeinge ab to Dasne lage hain andhere mujhe raushni mein jo nikle to mar jaaeinge ashk yuun to kabhi mere bahte nahin dariyaa dil ke sabhi mere bhar jaaeinge tujh ko to 'aashiqi kaa sahaaraa bhi hai jin kaa kuchh bhi nahin vo bikhar jaaeinge aap to aaj tak itni dahshat mein hain khud bacheinge tabhi to udhar jaaeinge aaina un ko dikhtaa nahin ab kahin 'aks se apne khud vo sanvar jaaeinge maut kaa Dar kahaan maut se kam hai ab aap zinda hi kab hain jo mar jaaeinge un ke jaane kaa manzar tamaasha nahin sochne se mire kyaa Thahar jaaeinge tanhaa ho kar bhi main ek lashkar mein huun jin kaa koi nahin vo to Dar jaaeinge"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"ruuh ke us chhor tak honTon kaa ye til jaaegaa saath chal kar ab mire meraa hi qaatil jaaegaa aa ke din mein kyaa karoge raat mein aanaa kabhi tirgi se aap ko meraa pata mil jaaegaa jab se vo niklaa nahin puuraa chaman hai muntazir main gar us ke saath huun puuraa chaman khil jaaegaa mujh ko samjhaate raheinge log aakhir kab talak kaise bach kar main rahun varna to ye dil jaaegaa doston ne kis liye mujh par kiyaa itnaa karam itnaa gahraa ghaav hai kyaa khud-ba-khud sil jaaegaa"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha