Shayari
gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
to bhi us tak hai rasaai mujhe ehsaan dushvaar
daam luun gar par-e-jibril baraa-e-parvaaz
تو بھی اس تک ہے رسائی مجھے احساں دشوار
دام لوں گر پر جبریل برائے پرواز
तो भी उस तक है रसाई मुझे एहसाँ दुश्वार
दाम लूँ गर पर-ए-जिब्रील बरा-ए-पर्वाज़

gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
dil-rubaa tujh saa jo dil lene mein ayyaari kare
phir koi dilli mein kyaa dil ki khabardaari kare
aag is dil-lagi ko lag jaae
dil-lagi aag phir lagaane lagi
ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kaamraan hotaa
zabaan us bad-zabaan ki munh mein aur main zabaan hotaa
tankhvaah ek bosa hai tis par ye hujjatein
hai naa-dahind aap ki sarkaar be-tarah
namaaz apni agarche kabhi qazaa na hui
adaa kisi ki jo dekhi to phir adaa na hui