Shayari
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
sajde taDap rahe hain jabin-e-niyaaz mein
sar hain kisi ki zulf kaa saudaa liye hue
سجدے تڑپ رہے ہیں جبین نیاز میں
سر ہیں کسی کی زلف کا سودا لیے ہوئے
सज्दे तड़प रहे हैं जबीन-ए-नियाज़ में
सर हैं किसी की ज़ुल्फ़ का सौदा लिए हुए

kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
jis ki jaanib 'adaa' nazar na uThi
haal us kaa bhi mere haal saa thaa
hazaar kos nigaahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to ham ko pahchaane
dil ke viraane mein ghume to bhaTak jaaoge
raunaq-e-kucha-o-baazaar se aage na baDho
kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai