Shayari
yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yaa-rab
ki unhein bhi chain miltaa jo mujhe qaraar hotaa
A
Adeeb Saharanpuriapne apne hauslon apni talab ki baat hai
chun liyaa ham ne unhein saaraa jahaan rahne diyaa
اپنے اپنے حوصلوں اپنی طلب کی بات ہے
چن لیا ہم نے انہیں سارا جہاں رہنے دیا
अपने अपने हौसलों अपनी तलब की बात है
चुन लिया हम ने उन्हें सारा जहाँ रहने दिया
yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yaa-rab
ki unhein bhi chain miltaa jo mujhe qaraar hotaa
ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rahne diyaa
jaan kar ham ne unhein naa-mehrbaan rahne diyaa
hazaar baar iraada kiye baghair bhi ham
chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf
manzilein na bhuleinge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hi kab hai paanv thakne se
baandh kar ahd-e-vafaa koi gayaa hai mujh se
ai miri umr-e-ravaan aur zaraa aahista
raahat ki justuju mein khushi ki talaash mein
gham paalti hai umr-e-gurezaan nae nae