Shayari
kis tarah javaani mein chalun raah pe naaseh
ye umr hi aisi hai sujhaai nahin detaa
baDe sidhe-saadhe baDe bhole-bhaale
koi dekhe is vaqt chehraa tumhaaraa
بڑے سیدھے سادھے بڑے بھولے بھالے
کوئی دیکھے اس وقت چہرا تمہارا
बड़े सीधे-साधे बड़े भोले-भाले
कोई देखे इस वक़्त चेहरा तुम्हारा

kis tarah javaani mein chalun raah pe naaseh
ye umr hi aisi hai sujhaai nahin detaa
ik baat kahein tum se khafaa to nahin hoge
pahlu mein hamaare dil-e-muztar nahin miltaa
hamin hain maujib-e-baab-e-fasaahat hazrat-e-'shaair'
zamaana sikhtaa hai ham se ham vo dilli vaale hain
lo ham bataaein ghuncha-o-gul mein hai farq kyaa
ik baat hai kahi hui ik be-kahi hui
mire karim inaayat se teri kyaa na milaa
gunaah kar ke bhi be-muzad aab-o-daana milaa
kaleje mein hazaaron daagh dil mein hasratein laakhon
kamaai le chalaa huun saath apne zindagi bhar ki