Shayari
ik main huun ki lahron ki tarah chain nahin hai
ik vo hai ki khaamosh samundar ki tarah hai
mujh ko mire vajud se koi nikaal de
tang aa chukaa huun roz ke in haadson se main
مجھ کو مرے وجود سے کوئی نکال دے
تنگ آ چکا ہوں روز کے ان حادثوں سے میں
मुझ को मिरे वजूद से कोई निकाल दे
तंग आ चुका हूँ रोज़ के इन हादसों से मैं

ik main huun ki lahron ki tarah chain nahin hai
ik vo hai ki khaamosh samundar ki tarah hai
hai meraa chehra saikaDon chehron kaa aaina
bezaar ho gayaa huun tamaashaaiyon se main
basti basti parbat parbat vahshat ki hai dhuup 'ziyaa'
chaaron jaanib viraani hai dil kaa ik viraana kyaa
is qadar pur-khulus lahja hai
us se milnaa hai umr bhar jaise
nagar nagar mein nai bastiyaan basaai gaiin
hazaar chaahaa magar phir bhi apnaa ghar na banaa
aandhiyon ki zad mein hai meraa vajud
aur main divaar ki tasvir huun