Shayari
ab teraa khel khel rahaa huun main apne saath
khud ko pukaartaa huun aur aataa nahin huun main
tire ghurur ki ismat-dari pe naadim huun
tire lahu se bhi daaman hai daaghdaar miraa
ترے غرور کی عصمت دری پہ نادم ہوں
ترے لہو سے بھی دامن ہے داغ دار مرا
तिरे ग़ुरूर की इस्मत-दरी पे नादिम हूँ
तिरे लहू से भी दामन है दाग़दार मिरा

ab teraa khel khel rahaa huun main apne saath
khud ko pukaartaa huun aur aataa nahin huun main
rah jaaegi ye saari kahaani yahin dhari
ik roz jab main apne fasaane mein jaaungaa
main kisi aur hi aalam kaa makin huun pyaare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsaan miraa
jis ke baghair ji nahin sakte the jaa chukaa
par dil se dard aankh se aansu kahaan gayaa
ab tujhe meraa naam yaad nahin
jab ki teraa pataa rahaa huun main
hai musibat mein giraftaar musibat meri
jo bhi mushkil hai vo mere liye aasaani hai